What is Scalping Trading Strategy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Scalping Trading Strategy
    Scalping" forex trading ka aik aisa tareeqay kar hai, jis ka istemal qeematon me choti tabdeelion se kia jata hai. Scalping strategy me musalsal aur pay-dar-pay trading hoti hai. Aik scalper trader ko sakht exit policy ki zarorat hoti hai, q k aik bara nuqsan doasre trading me hone wale tamam chote (small) munafay (profit) ko zaya kar sakta hai, is waja se scalping me trading k sakht discipline, trading plan aur strategy k sakht rules hote hen. In sab awamel aur achay trading tools k sath aap aik kamyab scalper trader ban sakte ho.
    Scalping trading kuch traders k leye bara dilchasp hota hai, q k ye tareeqay kar dosre analysis se kafi mukhtalif hai. Lekin kamyab trading karne k leye, aap ko market me munafa k mawaqay (opportunity) ki nishan-dahi karne k leye mukhtalif technical trading techniques ko sahi tareeqay se sar-anjam dene k leye experience ki zarorat hogi.

    Scalping Trading aik short-term trading technique hai, jis me qeematon k darmeyan faraq se muanafa khamane k leye din k dowran bar bar khareedo-wa-ferokht ki jati hai. Scalping strategy me low price pe buy karna aur high price pe sell karna shamil hai. Scalping strategy k leye liquidity ka hona bohut ziada zarori hai, q k smoth market ya sideways movement me kabhi bhi scalping ka amal sahi tareeqay se ya faida mand sabit nahi hota. Liquidity ye bhi yaqeeni banati hai k market me entry ya exit hone k waqat aap ko aik achah profit mele.
    Scalpers ka khayal hai k market k

    utaar-charo (volitilety) k nuqta-ye-nazar se small trading karna asaan aur kam riski hai, q k wo muqa zaya hone se pehle hi aik chota sa munafa hasil kar lete hen. Scalper trader un long term traders se mukhtalif hote hen, jin k traders bohut lambe arse k leye open hote hen, aur baaz awqaat to ye hafton aur maheeno tak bhi chalte rehte hen, jis se ye muanafa haisl karte hen. Jab k scalper ka mind setup mukhtalif hota hai, aur wo ziada arsa traders open rakhne ki bajaye small time me small profit se achah munafa hasil karte hen.

    Click image for larger version

Name:	download (19).jpeg
Views:	12
Size:	6.0 کلوبائٹ
ID:	12495740

    1. Kam waqat k Market me rehna Kam Riski hota hai

    Scalping strategy me scalper market me kam waqat k leye trading karte hen, yani market me open trades ka duraneya bohut kam rakhte hen, is waja se in ka risk bhi kam hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (50).png
Views:	9
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12495741


    2. Kam Movement se Profit asaan hai

    Market me qeematon ka kam movement karne se munafa asani se hasil hota hai, bajaye aik trade ko ziada waqat k leye open rakhna. Market me supply aur demand ki waja se qeematen oper nechay hoti rehti hai, is se scalper asani se fauda hasil kar jate hen.

    3. Market me Small Movement ziada hoti hai

    Scalpers pur-sakoon market me bhi profit hasil karte hen, wo market ki choti choti up-down movement se faida mand hote hen, jab k long term traders is se bulkul kuch bhi hasil nahi kar sakte.

    Jab dosre trader jaise positioning trades market me trades k leye technical aur fundamental dono tarah ki analysis karte hen, un ki bajaye scalper market me technical techniques se faida hasil karte hen.

    Technical analysis me maojooda trend ko follow karne k sath sath qeematon ki historical data bhi shamil hoti hai, jis k leye scalper traders mukhtalif chart patterns aur technical tools ka istemal karte hen. Chart pattern aur qeematon ki historical movement se scalpers market ki agli mumkina tabdeeli ka result hasil karte hen.
    Scalper trader jo chart pattern ya timeframe ka istemal karte hen, wo sab se mukhtasir tareen hote hen. Agar aik day-trader aik din me panch (5) trading k leye M5 ka timeframe istemal karta hai, to scalper trader 10 se 100 trading karne k leye S5 (Five second) ka mukhtasir timeframe ka istemal karega. Trading ki is fast techniques ko hasil karne k leye, scalper trader kafi ziada technical tools ka istemal karte hen, jin me market ka "waqat aur ferokht (time and sell)", "buy", "sell" aur "cancel trades" k lain dain ka record shamil hai.

اب آن لائن

Working...
X