Briefly discuss about Morning Star Candlestick Pattern !!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Briefly discuss about Morning Star Candlestick Pattern !!!
    Assalam o alaikum dear sweet members and goodnoon!
    Dear Pakistan's forex forum members and seniors umeed kerta hun ke aap sab khairyat se honge or forex market se acha
    profit gain ker rahe honge. Dear sweet members forex trading mein different types ke candlestick patterns hain aaj mein
    unhi mein se ek candlestick ko discuss ker raha hun, Ye Morning star candlestick ke hawale se hai.
    Morning Star Candlestick Pattern
    Dear members Morning Star Pattern 3 candle or bullish reversal candlestick pattern hai jo downtrend ke bottom ko zahir
    kerta hai, Is se pehle ke ek big move uptrend ko jaye ye downtrend ki moving speed ki kami ko zahir kerta hai. Traders ko
    Morning star candlestick ki formation kerni chahye or phir confirm kerna chahye ke tehnical indicator istemal kerte hoye
    reversal movement ko confirm kiya gaya ai ke nahi.


    Is chart mein Morning Star candlestick pattern ko dekha ja sakta hai.
    Identification of Morning Star Candlestick Pattern

    Charts per Morning Star identify kerne ke liye sirf 3 candles shamil hain,is mein jis chiz ko samajhne ki zaroorat hai wo
    ye hai ke pichle prica ka action kiya tha or mojuda trend ka pattern kiya show ker raha hai wo hum is chart mein dekh
    sakte hain....

    Is pattern ko samjhne ke liye kuch points ki madad mein share ker raha hun...

    • Forex Market ko thori si height or down trend ki height ko represent kerna chahye.
    • Bari bearish candle large selling pressure or mojuda downtrend ke tasalsal ka result hai.
    • Dusri candle ek small candle hai jo downtrend ke pehli alamaat ko represent kerti hai.
    • Buy ke new pressure ki oehli haqiqi alamat is candle mein zahir hoti hai.
    • Ek successful tabdeeli ke bad traders high trend or down trend ko observe karein ge lekin unhein hamesha rakhe

    gaye stops ke istemaal ke zariya risk management kerni chahye.

    Trade Using Morning Star Pattern
    Morning Star Pattern ko istemal kerte hoye hum trade ker sakte hain, niche diye gaye chart ki madad se entry level,target
    or stop loss ko dekha ja sakta hai...

    Morning Star pattern ke develop hone ke baad entry level agli candle pe rakha ja sakta hai, Stop loss ko pichli candle
    ke niche rakha ja sakta hai jab ke target ko resistance or support ke pichle areas mein rakha ja sakta hai ye tha aaj ka hamara
    Morning Star Candlestick pattern ke sath trading kerne ka method.
    Umeed kerta hun ke aapko mera ye method pasand aaya hoga or is ko represent kerte hoye aap comment section mein
    apna opinion pesh ker sakte hain Shukriya
    :1f63b:

اب آن لائن

Working...
X