Candlestick
Aik forex trader analyst k leye k market main trading shoro karne se pehle candles k bare main janna ya zarori malomat rakhna bohut aham hai. Forex trading me Candlestick chart aik aham technique hai, q k ye qeematen parhne k leye estemal hote hen. Forex trading main analyst apni marzi k mutabiq candlestick k peroid ya duration ko on, off, high, low kar sakta hai. Candlestick charts ko inferadi tawar par estemal nahi karna chaheye, bulkeh is ko dosre indicators jaise; RSI, MACD, Eliot Wave, Stochastic waghera k sath ekhata karke estemal karna chaheye, jo analysis ko mazeed darust aur kaar amad bana deti hai.
Candlestick ki Information
Forex trading k analysis main estemal honi wali aik single candle main prices k hawale se bohut ziada aham malomat hoti hen, jo k aam tawar par humen dosre charts jaise line ya bar charts main dasteyab nahi hote. Aik sigle candlestick jo information humen deti hen wo darjazel hai;
High Price:
Candle k upside par selected time period duran sab se highest point ko high price kaha jata hai. Ye candle ki body bhi ho sakti hai aur candle ki wick ya shadow bhi.
Low Price:
Candle k downside par selected time period duran sab se lower point ko low price kaha jata hai. Ye bhi candle ki body bhi ho sakti hai aur candle ki wick ya shadow bhi.
Open Price:
Open price se murad selected timeframe main candle ka wo hisa hota hai, jahan se candle ka aghaz hota hai.
Close Price:
Close price kisi bhi timeframe ka end point hota hai, jis k baad naya timeframe shoro hota hai.
Candle Body :
Open aur close price k darmeyan area candlestick ki body ya real body kehlati hai. Ye real body up aur down dono semato main ho sakti hai.
Green Body: Agar candle ki selected timeframe main closing price opening price se high ya ziada hai to ye candle green ya white (candle ki by default color) color ki body banati hai. Green candles banne ka matlab hai k stocks ki price uptrend main ja rahi hai, aur ye aik qisam ki musbat tabdeeli hoti hai.
Red Body: Agar candle ki selected timeframe main closing price opening price se low ya kam hai to ye candle red ya black (candle ki by default color) color ki body banati hai. Red candles green k bar akas price k downtrend ki nishandahi aur prices k manfi rawaye ko zahir karti hai.
Wick or Shadow :
Wick ya shodow aik bareek line hoti hai, jo k candles me opening aur closing price k up ya down side pe banti hai. Candles k body ki tarah wick bohut impotant malomat rakhti hai, aur baaz dafa to ye as a indicator bhi kaam karti hai. Candle k up side pe upper shadow ya wick jab k down side pe lower shadow ya wick banta hai. Kuch candles me to body bulkul hoti hi nahi hai, yani un candles me open aur close aik hi price pe hote hen, un candles ko doji candles kaha jata hai.
Candlestick aur Timeframes
Candlesticks ka timeframe k sath bara khas link hota hai. Timeframes darasal candles ki aik makhsos waqat hota hai, jis k dowran price us aik hi candles me up down harkat karti hai. Aik candlestick ka time one minute, five minutes, fifteen minutes, thirty minutes, one hour, four hour, one day, one week aur one month tak ho sakti hai. Jitna aik candle ka time frame ziada hoga utna hi wo ziada informative hogi. Yani one minute aur five minutes k candles k muqabele main four hourly ya one day k timeframes wali candles ziada fayedar hoti hai.