RSI Divergence
RSI indicator ko 1978 me J. Welles Wilder ne banaya tha. Ye aik momentum oscillator hai jo upper aur lower harkaton ka muazena karke qeematon k raftar aur semat (velocity aur magnitude) ki pemayesh karta hai. Forex k successful traders k mutabiq RSI divergence technical strategies me sab se kamyab strategy hai. Is ki waja ye hai k ye strategy na sirf chart par maojood malomat ka istemal karti hai, bulke un candlesticks ka bare me bhi wazeh malomat farahm karte hen, k buyers aur sellers market me kia karte hen.
Aisi soratehal jahan candlestick k top ya bottom indicators ki signal line k mutaleqa tops ya bottom se mukhtalif semat ki taraf signal dete hen, is ko divergence kaha jata hai. RSI Divergence se murad qeematon ki semat k mutabiq RSI ki semat ko badal dena hai. RSI Divergence bar ka colour divergence k lehaz se badal deta hai. Financial market RSI indicator k do atarh k divergence ho sakte hen aik bullish divergence aur dosra bearish divergence . Agar RSI indicator ki value barh (increase) rahi ho aur qeematen kam (decrease) ho rahi ho to to aik bullish divergence ho jata hai. Lekin agar RSI ki value kam (decrease) ho rahi ho aur qeematen barh (increase) ho to ye bearish divergence k zemre me ayega.
Bullish Divergence
Bullish divergence me oscillator higher lows banati hai, jab k us k bar-aks qeematen price chart me lower lows banati howi chalti hai. Bullish divergence me RSI indicators do (two) low dekhata hai, jo higher lows k level banata hai, jab k qeematen lower lows dekhati hai. RSI leading indicator k tawar par apni values ko naye semat ki taraf ishara karti hai, jab k qeematen indicator k semat k faraq ko sahi karne k leye baad me usi semat me ati hai.
Bearish Divergence
Price chart pattern me jab bhi qeematon k candlestick higher high banti hai, aur indicator ki vlaue us ki bar-aks lower banati hai, jo baad me qeematen ki semat ki tabdeeli ka zarya banti hai, aik bearish divergence hota hai. RSI indicators ki value agar downward semat me ja rahi ho aur qeematen higher high k candles bana rahe ho, to bearish divergence k mutabiq qeematen is faraq ko khatam karne k leye indicator ki semat ko baad me follow karti hai.
Hidden Bullish Divergence
Hidden Bullish divergence us waqat banta hai, jab indicator lower lows bana raha ho aur sui waqat qeematen higher lows banati hai. Ye aksar us waqat ho raha hota hai, jab qeematen sideways trend pe a arahi ho ya uptrend se qeematen wapis ho rahi ho, is waja se ye set up is baat ki nishan-dahi karta hai k qeematon me abhi bhi uptrend k asaar hen. Aisi soratehal me qeematen bohut kam hi sellers k control me ati hai, aur ye position market me buyers ki mazboti ki waja se hota hai.
Trading on RSI Divergence
RSI Divergence trading k leye aik behtar strategy sabit ho sakti hai, lekin ye baat hamesha se zehen me rehni chaheye k RSI indicator aik trend reversal indicator k tawar par ziada kaam karta hai, agar kahi se qeematen indicator k bar-aks chalna shoro karti hai, to us k leye stop loss ka zaror istemal karen. RSI Divergence market k lower ya higher point pe ziada behtar result deta hai. Trend market me trend ko hamesha follow karen.