What are the mechanics of Forex trading?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What are the mechanics of Forex trading?
    Assalam o alaikum members and Good morning!
    Dear Pakistan's forex forum and senior members umeed hai ap sab khairiyat se honge or forex market mein acha profit
    earn ker rahe honge. Forex market mein bohut se traders kam ker rahe hain, in mein kuch log Forex trading ko gehrayi
    se samajhte hain jo experts hote hain or in mein baaz log aise bhi hote hain jo sirf chart or time frame ko analyse ker ke
    trading kerte hain, Is liye aaj mein aap ke sath Forex trading ke basic mechanics share kerne laga hon take sab log is se
    faida uthayein or apne trading ke experience ko behter bna sakein...

    Mechanics of Forex Trading
    Mechanics of Forex trading ko Currency Trading bhi kaha jata hai.
    Buy vs. Sell

    Forex trading ek currency ko kharidna jabke ek sath doosri currency ko bechna ha.Ye currencies pairs mein zaher
    hoti hain, hamesha ek doosre se juri rehti hain, ek currency ki qader ke mutabiq tabdeel nahi ho sakta jab tak doosri
    ke sath compare na kiya jaye. Is market mein trading munfired hai kion ke inko wahan buy or sell kerne ke equal
    opportunities hain.Ager ap expect kerte hain or ek pair ko buy kerte hain to aap "
    Long" move ker rahe hain or ager
    aap sell kerte hain to aap "
    Shorting" ker rahe hain. Chahe aap buy ker lein ya sell ker lein ek side hamesha weak rahe
    gi or dusri side strong rahe gi , jis se trade ko nayi opportuny milti hai trading ke liye.

    Currency Pairs
    Jessa ke pehle hi discuss ker chuke hain ke ye ek currency ka dusri currency ke sath ek pair hota hai jo dono ek
    dusre ke muqable mein hote hain.E.g Eur/Usd Euro muqabel hai American's doller ke. Forex market market mein limited
    currencies pair hain or in mein kuch major currencies pair bhi hain jo duniya mein sab se ziada trade kiye jate hain.
    yahi wo pairs hain jahan per Sell or buy ki entry li jati hai.For Example


    PipsPips tamam currencies ke liye buniyadi units hain .Fpr example ek pair ki price 1.2010 se 1.2011 ko move hoti
    hai ye bullish movement hai 1 pip ki, Major currencies pair ke pips 100 tak move kerte hai daily.


    Lots
    Lot ek currency ke units ka scale hai jis pair pe hum trade open kerte hain, Ziada lots lagane se trade aasan ho jati
    hai or ek maayari trade size apni shakal mein show hoti hai. Ise Volume ke tor per istemal kiya jata hai. Ager hamare
    pas ziada equity hai to hum volume ko barah ker trade open ker sakte hain or ager kam equity hai to small lot size
    se trade open ker sakte hain. Kisi bhi basic currency pair ki value ki standard lot 100000 units per mushtamil hoti hai.
    Iski 3 shapes hoti hain forex market mein....
    Standard lots Fractional lots Micro Lots

    Umeed hai aaj ki ye post aap ke liye faidamand hogi or ager aap meri post se mutasir hai to comment mein zaroor
    btayein Shukriya
    :1f61a:

اب آن لائن

Working...
X