"Coattail investing" trading strategy kay bary main information.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Coattail investing" trading strategy kay bary main information.
    Coattail investing ka matlab hay keh jahan aik investor us jaga invest karta hay jahan well-known aur kamyab investors investing karty hain. Individual investors is maqaad kay liye Securities exchange commission (SEC) ki website per check karty hain keh kis jaga kon invest kar raha hay. Coattail investing main buy and hold ka mindset hona chahiye aur is main un he investors ko copy karny chaiye jo 20-30 years say different jaga kamyab investing kar rahy hon.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220104-185520_1.jpg
Views:	1
Size:	73.4 کلوبائٹ
ID:	12491833

    Coattail investing main kon say investors copy kiye jayain.
    Cottail investment main hamain un investors ko copy karna chahiye jinki waja say company kay shares appreciate karain. Aisy investors ko activist investors kehty hain. Iskay ilawah ham un investors ko bhi copy kar sakty hain jinky assets 100 millions say uper hon, inki info bhi hamain SEC website say free main mil sakti hay aur ham iski base per bhi future investing decide kar sakty hain. Iskay ilawah ham un investors ko copy kar sakty hain jo buy and hold mindset per kam karty hain. Q keh coattail investing main short term investing kafi risky hay.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220104-185626_1.jpg
Views:	1
Size:	64.0 کلوبائٹ
ID:	12491834

    Coattail investment main kaisy successful hua ja sakta hay.
    Is main hamain is say bachna chahiye keh ager baqi investors particular stick main invest kar rahy hain to ham bhi kar dain,q keh baz dafa low capital say hamain jald he loss ho sakta hay. Is approach ko conducting due diligence kaha jata hay. Dusra is main patience ki zaroorat hoti hay. Baz dafa stock price kisi event ki waja say high hoti hay laikin in future agaun drop ho jati hay. Lehaza coattail investing main stock ko dip say buy kar kay long term kay liye hold rakhna chahiye. Hamain is main aik say zaid investirs ko follow and copy karna chahiye. Aur un he investors ko coattail investing kay liye copy karain jo tested and trusted investors hon.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220104-185551_1.jpg
Views:	1
Size:	128.5 کلوبائٹ
ID:	12491835

    Risks in coattail investing.
    Ji to friends is main sab say bara risk ye hay keh maturity period bahut ziadah hota hay. Q keh big investirs buy and hold ki theory per believe karty gain, baz dafa stocks ki price fall bhi kar jati hay is liye hamain ye bhi khial rakhna parta hay keh hamary pas itna capital ho keh ham market say fight karty huye survive kar sakain. Aik aur bara risk ye hay keh websites per big investors ko kafi individuals and institutions follow kar rahy hoty hain laikin baz dafa true info say ham phir bhi bakhabar nai rehty, jab keh stock market main valuable information bahut ihm hoti hain.

اب آن لائن

Working...
X