Forex Trading me "Bollinger Band Indicator" ka Istemal
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me "Bollinger Band Indicator" ka Istemal
    Bollinger Band Indicator


    Bollinger band indicator aik mashahoor indicator hai, jis ko John A. Bollinger ne banaya tha, aur ye indicator porane moving average envelope jaisa hai.
    Moving average envelope me resistance line ko moving average se kuch muqarara percentage par oper ki taraf jab k support line ko muqarara percentage par moving average k nechay guzara (plot) kia jata hai, jab k Bollinger band indicator me 20-day moving average se resistance line ko two standard deviations uper aur support line ko two standard deviations nechay se lagaya (plot) kia jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (114).png
Views:	19
Size:	19.0 کلوبائٹ
ID:	12491218

    Bollinger band indicator ki sab se bari khubi ye hai, k is indicator ko kisi bhi timeframe minton se maheenon tak pe set kia ja sakta hai. Is indicator ko market me bari movements par teezi se rade-amal zahir karne k leye aur ye dekhne k leye k aya qeematen market k normal range k muqabele me kam hen ya ziada, k leye design kia gaya hai. Bollinger band indicator price action ki tasdeeq k leye apne bands ko dosre indicators k sath istemal karta hai.
    Bollinger band indicator medium-term trend k leye plus minus two standard deviations 20-day simple moving average ki tajveez deta hai. Ye 20-day simple moving average Bollinger band indicator ki by-default setting ban chuki hai, aur sab se ziada istemal honi wali setting hai. Short-term trend k leye 10-day simple moving average aur long term trend k leye 50-day simple moving average ki plus minus two standard deviations bohut zyada best setting hai. Bollinger band indicator moving average ki length muntakhib karda timeframe k mutabiq select karta hai, aur ye moving average taqreeban hamesha us se mukhtalif hoti hai jo cross over k dowran buy aur sell k leye sab se ziada mufeed hoti hai. Is k elawa Bollinger band indicator batata hai k moving average ki munasib length ki nishan-dahi karne ka aik tareeqa ye hai k aik aisa intekhab kia jaye jo nechay se uper ki 1st movement ki correction karne me support faraham karen. Agar average ko correction me enter kia jata hai to us sorat me average kam parta hai, aur agar baad me entre kare to average ziada ho jata hai, moving average is ko break hone se bachane k leye support faraham karta hai.
    Bollinger indicator k bands ko jab qeematen touch karti hai, to us sorat me ye indicator buy ya sell ka signal nahi deta, bulke wo bands ka aik framwork faraham karta hai, jis me qeematen dosre indicators jaise; on-balance volume ya money flow ki madad se adjust ki ja sakti hai. Misal k tawar par agar qeematen upper band ko touch karti hai, lekin dosre indicators agar un qeematon ki mazboti (upward move) batati hai, to Bollinger band indicator sell signal genrate nahi karta, isi tarah se jab qeematen upper band ko choti (touch) karti hai, aur dosre indicators bhi qeematon me kamzori dekhati hai, to yahan pe sell signal genrate ho jata hai. Sell signal tab bhi genrate hoga, jab bhi qeematen bands se upper chali jayegi, aur qeematen jab mazeed is level ko baqarar nahi rakh pati, to yahan se qeematon ka reversal hone k chances bhi zyada ho jate hen.
    Sell ki signal ki tarah jab bhi indicator buy ka signal genrate karta hai, to us k leye bhi dosre ba-akhteyar indicators ka istemal karta hai. Misal k tawar par agar qeematen indicator k bands k lower side ko touch karti hai, lekin dosre indicators qeematon ki weaks dekhati hai, to is se indicator bhi buy ka signal genrate nahi karega. Aur agar qeematen bands ko touch kar leti hai aur dosre indicators bhi weaks nahi dekhati to is se Bollinger band indicator buy ka signal genrate kardega. Buy ki signal tab bhi genrate hongay agar qeematen bands se baher lower side pe chali jati hai, kekin qeematen mazeed waekness nahi dekhati.


    Over-Bought and Over-Sold

    Bollinger band indicator ko market me entry aur exit k leye istemal kia jata hai. Ye indicator dosre volume indicators k sath mel kar bohut acha result deta hai. Ye indicator markey me do main zone faraham karta hai, aik over-bought aur dosra over-sold zone.
    Over-bought wo zone hota hai, jab qeematen indicator k bands k upper chali jati hai, aur yahan pe chances hote hen k qeematen reversal ho jayen to ye area over-bought zone kehlata hai. Over-sold zone me qeematen indicator k bands se lower side pe chali jati hen, jahan se qeematon k upper side pe reversal hone k chances hote hen to ye area over-sold area kehlata hai. Indicator k over-bought aur over-sold area me trading se humen bohut ziada faida hasil hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (115).png
Views:	3
Size:	30.9 کلوبائٹ
ID:	12491217

اب آن لائن

Working...
X