Currency correlation in forex trading:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Currency correlation in forex trading:
    ASSALAM O ALAIKUM!
    Friends, Umeed hai ap sab kheriat sy hon gy. Forex ki market mn kamyab trading karny ky liye humain forex ki basics, technical analysis or fundamental analysis ky bary mn knowledge hasil karna ho ga. Agar hamary pas market ka axha knowledge ho ga to hum kamyab trading kar sakty hain. Forex ki market bht risky market hai. Without knowledge humain iss market mn loss ho sakta hai. Issi bat ko mady nazar rakhty huay aj hum Currency Correlation ky bary mn bat Karen gy. Hum discuss Karen gy Currency Correlation kia hoti hai, iss ki kia importance hai or iss ka forex ki market mn kia role hai. Umeed hai meri information ap ky liye profitable hon gi.

    WHAT IS CURRENCY CORRELATION :

    Financial world mein correlation two currencies ky darmeyaan statistical measure ko kehty hein ...
    jab aik currency pair move karta hai tou us ka kitna affect kisi dusry pair py hota hai jo us currency pair sey related hai .






    ROLE OF CURRENCY CORRELATION IN FOREX TRADING :

    Jab forex market kay chart mein two currencies ka apas mein correlation hota hai ya jab chart pay two pairs same direction mein run karty hein tou usy positive correlation kehty hein . And jab woi pairs aik dusry kay opposite run karty hein tou unko negative correlation kehty hein .






    IMPORTANCE OF CURRENCY CORRELATION :

    • Australian doller (AUD) ka correlation New zeland (NZO) say hai aur us k sath gold and cruide bhi is sey related hein . Correlation ki range -1 or +1 k darmeyaan hoti hai.

    • World ki currencies ka correlation bilkul normal hai jesy kay ham Candian doller (CAD) ki bat karty hein jis ka correlation oil price sey hai.
    • Perfect correlation means k currencies k two pairs 100% aik direction mein move karty hein.


    Click image for larger version

Name:	asd.png
Views:	1
Size:	110.7 کلوبائٹ
ID:	12490999

    CONCLUSION :

    Agar two currency pair ka correlation zero hai tou it means k wo apas mein independent hein and aik pair ki movement sey dusry pair ki movement par asar nae parta aur dono ki movement random hoti hai . Correlation In ko two currencies k bech statistical measure ko kehty hein. Forex members umeed hai aapp k tamam traders kheriat sy houn gey and forex par achi learning karny k sath sath achi trading bhi kar rahy houn gey , kyun k without learning k ap bilkul bhi trade nae kar sakty . Aj ka mra topic boht he important ha tamam members k liye Isko samjhana zarori hai agar effective trade karna chaty hain tu is cheez ko samjhna hamary liye zarori hai kyun keh trade karny k liye is ka knowkedge bhi zarori hai.

اب آن لائن

Working...
X