Robot Trading, IQ Option and Metatrader 4 Details.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Robot Trading, IQ Option and Metatrader 4 Details.
    Aslam o alaikum,

    Forex trading market main aap kay pass different types ki option available hoti hain. Copy Trading aur IQ option ki kuch information main aap ko dena chahta hun or isk sath sath metatrader 4 ki information deny ja raha hun.

    What is Robot Trading

    Brokers aap ko robot trading ki option bhi provide kr rhy hoty hain. Robot trading bhi aik bahut hi advanced trading methods hai, jis ko ap properly utilised kar sakte hain, or apny advantages ko perfect bana sakhty Hain. Robot Trading basically aik automated software hota hai, Jo different important instructions ki basis per Trading activities ko complete kar raha hota hai. Robot Trading bhi all over the world bahut jyada familiar ho rahi hai, agar ap robot trading kerty Hain, tu apko hamesha is ki complete information hasil karna ho ge, otherwise aap completely successful aur kamyab nahin ho sakhty Hain. Copy Trading ki tarah Robot trading bhi junior members Jo apni investment karna chahte hain, liken unk pas enough experience nahin hai, unk liye bahut zyda helpful ho sakti hai aur experience ko increase krny main helpful ho sakhti hai.



    What is IQ Option Trading

    IQ Option bhi ajkal bahut familiar ho raha hai. Bahut sary brokers aapko IQ option trading ki facility provide kr rhy hoty hain, is option main aap kay pas ya choice hoti hai jis main aap na buy ya sell ki prediction krna hoti hai. Is prediction main aapko immediately results mil rahy hoty hain. Is main market main aap kuch second kay bad apna profit or loss dekh sakhty hain.



    MT4

    Market mein enter hony kay liye MT4 ki zarorat hoti hai. Metatrader 4 application software kay baghir aap forex trading market ko join nahin kar sakhty hain. Forex trading mein jab aap apni joining karte Hain tu is main sb sa phly aapko aik broker ki zarorat hoti hai. Jab aap aik broker ki selection kar laty hain tu usk bad aapko aik eisy platform ki zarorat hoti hai, jo aap ko forex trading market sa connected rakhy. Kunk isk baghir market ko join ktna impossible ho sakhta hai. Is purpose ke liye aap metatrader 4 application software ko utilise kar sakhty hain. Trading krny kay liye following functions metatrader 4 aap ko provide kar raha hota hai.

    Opening a Trade

    Trade open krny kay liye metatrader 4 ko achi tarah samjna hota hai. Metatrader 4 per aap market mein entry la sakhty hain or apni trade main currencies, indices, commodities, metal or cryptocurrency ki selection kar sakhty hain. Is main aapko lot size ki option bhi available hoti hai.

    Stop-loss / Take Profit

    TP aur SL bahut hi zarori factor hoty hain. Metatrader 4 aap ko stop loss SL or take Profit TP ki limit set krny kay liye aik platform provide kar raha hota hai. Is option ki help sa aap apny analysis ki basis per apni entry la kay others activities ko Carry on kar sakhty hain.

    Pending Orders

    Pending order main aap apni prices per trades open kar sakhty hain. Metatrader 4 per aap pending orders ki facility hasil kar sakhty hain. Pending Orders 4 different types kay hoty hain. Pending Orders main buy limit, buy stop, sell limit or sell stop shamil hoty hain. Pending Orders ki facility bhi apk time ko save krti hai.

    Indicators option

    Indicator aapki bahut zyda help aur guideline da sakhty hain. Metatrader 4 per aap Technically analysis krny kay liye multiple Indicator ko apply kar sakhty hain. Jab aap kei indicator istemal kar kay guidelines hasil karna chahte hain tu ya platform aap kay liye helpful hota hai.

    Different Values

    Dear forex traders, Metatrader 4 per aap currencies, indices, commodities, metal or cryptocurrency ki bid or ask prices ko focus kar sakhty hain. Is kay sath sath aap different prices ka spread bhi dekh sakhty hain.

    Fundamental Updates

    Metatarder 4 platform per aapko forex trading market ki expected news sa update kia ja raha hota hai, jo aapko fundamental analysis krny main helpful hoti hain.

    Record

    Dear forex traders, Metatrader 4 per aap apny account ki transactions history ko find out kar sakhty hain. Is main aap aik week, last 3 week, last aik month, last 3 month or customize period ki history hasil kar sakhty hain.

    Importance of MT4

    Definitely iski bahut importance hoti hai. Metatrader 4 ki bahut zyda importance hoti hai. Kunk is plateform kay baghir aap khbi market ko join nahin kar sakhty hain. Is ki bahut zyda importance hai. Agar aap iski importance ko recognize nahin kar sakhty tu aap kamyab nahin ho sakhty hain.

    ......Forum is a great place for traders talk.......

اب آن لائن

Working...
X