Complexities in Trading Can be cleared by using simple ways
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Complexities in Trading Can be cleared by using simple ways
    Single Indicator at One Time Trade

    Aik waqt mai aik say ziada indicators ka use bohat confusing ho jata hai. Iss Tarah traders ko kisi aik indicator ki bhi samajh nahi arahi hoti hai jiss say achi aur positive trading kerna kaafi mushkil hota hai. Forex trading mai traders ko aik waqt mai aik chart open ker kay uss pay he aik sequence mai sarey kaam kernay chaiye. Multiple tools ki bajaey traders ko aik aik ker kay tools apply ker lainay chaiye iss Tarah ziada behtar picture saamnay aa jaati hai aur achi positions open ki jaa sakti hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-23T142448.456.png
Views:	1
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12488061

    Technical Analysis

    Traders ko iss baat ka khayaal bhi rakhna chaiye kay jabb woh technical analysis ker rahey hotay hain tou unhain unn kay mutaliq indiactors ka bhi pata ho kay kon say indicators kiss waqt suitable rehtay hain. Her movements kay mutabiq indicators hotay hain jinhain segregate ker kay he use kerna theek rehta hai. Jaisay leading aur lagging indicators hotay aur price action kay related bhi hotay hain. Traders jitna apnay currency pair ya commodity kay chart ko saaf rakh kay kaam kertay hain tou utna he unhain khud bhi bhi trading kertay huay asaani rehti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-24T010544.142.jpeg
Views:	3
Size:	48.4 کلوبائٹ
ID:	12488062

    Using Mathod of Indicators

    Agar baat ki jay Indicators ki to in ko use karny se earning average increase ho jaati hai jaisa ki aap ko maloom hai trading market risky international market hai jismein data maloom karke trading market ki histry jante hue trading karna hoti hai agar ham trading market mein independent approach ke sath trading karen to yah hamare liye behtar sabit hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-22T200509.911.png
Views:	8
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12488063

    Most Effective Indicators Used In Trading

    Trading me Different types ka indicator use hoty Hain Jin ke madad sy Ham acha benefit hasal Kar sakaty Hain, lekin in me Jo most effective Indicators hen Jo takreeban tamam members use kety hen wo darj zail hen;
    1 Moving average (MA)
    2 Exponential moving average (EMA)
    3 Stochastic oscillator
    4 Moving average convergence divergence (MACD)
    5 Bollinger bands
    6 Relative strength index (RSI)
    7 Fibonacci retracement
    8 Ichimoku cloud
    9 Standard deviation
    10 Average directional index
    11 Relative Strength Index

اب آن لائن

Working...
X