Comparing Forex trading strategy "Selling Strength VS Buying Strength
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Comparing Forex trading strategy "Selling Strength VS Buying Strength
    Description

    Forex trading me aam tawar par agar market aik smooth tareeqay se run karen aur price koi up down na ho to ye market ki sideway movement hoti hai aur is me supply aur demand same hoti hai jis ki waja se market pe kisi bhi side pe koi pressure nahi hota hai. Lekin jab bhi market me supply aur demand ka balance disturbed ho jata hai to market kisi aik side pe chal parti hai, aur market ki ye movement ya to uptrend ya bullish movement hogi aur downward ya bearish movement ho sakti hai. Aam tawar agar market me normal level pe supply aur demand me halka pulka izafa ho raha ho to market price ki movement aik khas resistance aur support level se wapis ati hai lekin agar market me price pe supply ya demand ka pressure ziada ho jaye to us k bad market ya to selling strength (oversold) ya buy weakness (overbought) position pe chali jati hai.

    Click image for larger version

Name:	iStock_000004299870XSmall.jpg
Views:	3
Size:	158.5 کلوبائٹ
ID:	12487701

    Selling Strength (Oversold)

    Financial market me oversold us waqat hota hai k jab bhi indicator pe market ki prices selected position se nechahy ko chali jati hai aur market pe mazeed bejhne (selling) ka pressure hota hai aur is se hum market me mazeed selling k leye tayar hona chaheye. Market me kisi indicator jese RSI ki baat karen to us ki price agar 30% se below ho jaye to us waqat market ki price oversold tasawar kia jata hai jis ko hum market me mazeed selling ka pressure hota hai.

    Click image for larger version

Name:	Buy_Sell.png
Views:	1
Size:	142.3 کلوبائٹ
ID:	12487703

    Buying weakness (Overbought)

    Financial market me jab bhi hum kisi indicator ka istemal karte hen to us k leye hum market me aik khas value ka intekhab karte hen k agar indicator ki values in position se uper ya nechahy ho jaye to us waqat is ko overbought ya oversold qarar deya jata hai. Agar RSI indicator dekhen to hum dekhte hen to hum k jab bhi market me 70% prices ko cross ho jati to us waqat is price ko overbought tasar kia jata hai, jis ka matlab hota hai k market ne resistance level ko cross kar jata hai aur market me mazeed buy ka rujhan hai. Overbought jab bhi market me ho jaye mukhtalif indicators me to us k bad hamen market me mazeed market ki buy position k leye tayar hona chaheye.

    Click image for larger version

Name:	maxresdefault.jpg
Views:	1
Size:	74.0 کلوبائٹ
ID:	12487704

اب آن لائن

Working...
X