Forex Trading market me trading k leye istemal hone wale "Orders" ki tafseel

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading market me trading k leye istemal hone wale "Orders" ki tafseel
    Types of Orders


    Forex trading market me order se murad hai, k kis trah se market me trades ki entry aur exit ki jati hai. Orders k mukhtalif types hen. Kuch types to brokers par bhi depend karta hai, k wo kon se orders accept karta hai. Q k mukhtalif brokers mukhtalif qisam k order hi lete hen.

    Aam brokers darja-zel qisam k orders accept karte hen.


    Market order


    Market Orders se murad wo orders hen jis par market ki maojoda qeemat par buy aur sell ki jati hai.
    Misal k tawar par agar EUR/USD ki bid price 1.2020 hai aur is ki ask price 1.2030 hai, to jab aap EUR/USD ko buy karna chahengay to ye aaap ko ask qeemat yani 1.2030 pe melega. Jaise hi aap buy pe clivk karengay to matloba platform aap ki trade ki entry kar dega.

    Click image for larger version

Name:	download (21).png
Views:	1
Size:	5.5 کلوبائٹ
ID:	12486981

    Limit Entry Order


    Limit orders wo order hai, jis me aap qeematon k current price se nechay pe buy aur qeematon k current price se oper pe sell ki entry set karte hen.
    Misal k tawar par, agar EUR/USD ki current price 1.2020 hai, lekin aap chahte hen k jab ye qeemat 1.2050 tak jaye tab hi meri sell k entry lag jaye to us sorat me aap sell limit order ko 1.2050 pe set karte hen, lekin agar aap chahte ke qeematen jab 1.2000 tak a jaye aur meri buy ki trade lag jaye to us k aap ko buy limit ki entry 1.2000 ki position pe set karni hogi.
    Limit order me trade us waqat entre nahi hota hai, bulke hum aik range set karte hen, jo humen yaqeen hota hai k qeematen is position tak pohunchegi.
    Limit orders ki darja-zel do qismen hen;


    1. Buy limit
    2. Sell limit



    Click image for larger version

Name:	images (231).png
Views:	3
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12486982

    Stop-Entry Order


    Stop entry order wo orders hote hen jis me hum market k matloba qeemat se nechay sell ki entry aur matloba qeemat se oper buy ki entry set karte hen. Stop orders bhi limit orders ki tarah us waqat trade open nahi karte bulke apne matloba price range tak intezar karte hen. Ye sunne me to thora sa ajeeb hai lekin darja-zel misal se wazih ho jayega;
    Agar aik currency EUR/USD ki current price 1.2050 ho, aur aap analysis karte ho k agar ye pair 1.2030 lower jata to is ka agal hadaf mazeed downward hoga, to us sorat me aap 1.2030 k breakdown point pe sell stop ki entry karogay. Lekin agar aap dekhte ho k qeemat agar 1.2070 breakout karti hai to ye mazeed uper jayegi to us sorat me aap 1.2070 ki position pe buy stop ka order set karogay.
    Stop orders ki darja-zel do qismen hen;


    1. Buy stop
    2. Sell stop


    Click image for larger version

Name:	download (20).png
Views:	2
Size:	3.8 کلوبائٹ
ID:	12486983

    Stop Loss orders



    Stop loss orders trades k sath hi put ki jati hai, jo k aap ko ziada loss se mehfoz rakhti hai. Stop loss kisi bhi trade se us waqat jore hoti hai jab tak ya to wo trade close nahi ho jat aur ya us trade k loss stop loss ko hit nahi kar patey. Stop loss bohut hi important trading factor hai. Stop loss agar hum trade k opening k dowran bhol jate hen to is ko hum baad me bhi set kar sakte hen.
    Misal k tawar par agar aik pair EUR/USD 1.2020 pe trade kar raha hai, aur hamare trade ki entry bhi isi position pe ho, aur hum matloba trade k leye stop loss 1.2000 ki position pe set karte hen, to jab bhi ye trade loss me 1.2000 tak jata hai, to hamara trade 1.2000 ki position pe band ho jayega, aur mazeed loss me nahi parega.

    Click image for larger version

Name:	download (4).jpeg
Views:	1
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12486985

    Trailing Stop


    Trailing stop loss order wo order hota hai, k jab bhi market me qeematen profit side pe fluctuations karti hai to ye bhi us k sath sath move karta hai. Lekin loss k sorat me ye apne position pe hi rehta hai.
    Misal k tawar par agar hum EUR/USD ko current price 1.2020 pe buy ki ho aur is k leye hum trailing stop loss ko 1.2000 pe lagate hen to jab bhi qeematen 1.2050 tak jaye gi to us hisab se trailing stop loss bhi 1.2030 pe chala jayega. Yani jitni pips profit move karegi, trailing stop loss bhi utni hi pips k sath move karega. Lekin agar matlaba trade ko loss hota hai aur wo 1.2010 ki position pe ata hai to trailing stop loss apni hi position yani 1.2000 pe hi rahega.

    Click image for larger version

Name:	download (19).png
Views:	1
Size:	5.4 کلوبائٹ
ID:	12486984

اب آن لائن

Working...
X