Lot size in forex trading:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Lot size in forex trading:


    ASSALAM O ALAIKUM!

    Friends, Umeed hai ap sab kheriat sy hon gy. Forex market mn kamyab trading karny ky liye hamara forex ki basics, technical analysis or fundamental analysis ky bany mn knowledge hasil karna bht zaroori hai. Without knowledge hum iss market mn kamyab trading nai kar sakty jis ki waja sy humain nuqsaan ka samna karna parhta hai. Humain apni trades ko profitable banany ky liye trading ky knowledge ko axhy tareeky sy samajhna parhta hai. Aj hum Lot ky bary mn bat Karen gy. Hum discuss Karen gy ky Lot size ka forex market mn kis role hai or iss ki types kon kon si hain. Umeed hai meri information ap ky liye profitable hon gi.


    WHAT IS LOT SIZE?

    Market main hamen koi bhi trade lene ke liye Jo amount darkar hoti hai hai usko ham lot size kahate Hain. Ham market mein kisi bhi currency ya commodity ke jitne bhi units sell yah buy karte Hain to unko ham lot size mein calculate karte Hain isliye lots aaj hamari trading mein bahut hi important role play karta hai aur hamen is ko samajhna bahut jaruri hota hai kyunki hamari trading ka yah ek basic chij hai hi aur ISI se hi ham market mein trade le rahe hote Hain.





    TYPES OF LOT SIZES IN FOREX TRADING:

    Market mein trading ke liye different types ki lot size hoti hain aur inko ham istemal karte hue market mein trade le rahe hote Hain market mein main aam nano lot se lekar standard lord tak istemal kar sakte hain jitna hamara account balance hota hai usi ke mutabik ham market mein lot size ko use karte hain.


    1. STANDARD LOT SIZE (1.0):

    Standard lot size market ka vo lot size hota hai agar koi trader 1 lot size ki trade kar raha hota hai to vah Kisi bhi currency pair ke 100000 unit ko buy ya sell kar raha hota Hai is ko ham market mein standard lot kahate Hain. Agar ham market mein Euro USD ke pair per 1 standard lot active kha rahe hain to iska matlab hai ki ham market mein Eur ki 100000 units ko sell ya buy kr rhe hain. Standard size market ka bahut hi Big lot size hote hain iske liye hamara capital bhi jyada Hona chahie aur hamare pass trading ka experience bhi Hona chahie agar hamare pass capital kam ho aur hamen trading ka experience bhi kam ho to hamen standard lot market mein use nahin karna chahie.


    2. MINI LOT SIZE (0.1):

    Mini lot size market mein vo lot size hota hai jo ki ham Kisi bhi currency per agar 1 lot size ki trade karte Hain to iska matlab hai ki ham market mein use ki base currency ke 10,000 units ko buy sell kar rahe hain. Agar ham market mein Euro USD per trading kah rahe hain aur ham 1 mini lot size se trade active kah rahe hain to iska matlab hai ki ham market mein euro k 10,000 units ko sell ya buy kar rahe hain. Mini lot size hamari trading ke liye best ho sakta hai agar hamen market mein experience hai aur hamara capital achha hai to ham market mein mini lot size ke sath kam kar sakte hain.


    3. MICRO LOT SIZE (0.01):

    Micro lot size wall art size hota hai agar ham market mein kisi bhi currency e winlott ki trade kar rahe hote Hain to ham use currency e k 1000 units ko sell ya buy kah rahe hote Hain. Agar ham market mein jo Eur USD per 1 micro lot size ko active karte Hain to iska matlab hai ki ham Euro ke 1000 unit score sell yah buy kah rahe hain. Micro lot size beginners ke liye bahut hi best hota hai kyunki market mein main jab ham micro lot size ko istemal karte Hain to isase hamara loss hone ke chances kam hote hain aur ham isliye Apne account ko recover kar sakte hain.


    4. NANO LOT SIZE (0.001):

    Nano lot size market ka vo lot size hota hai jismein ham Kisi bhi currency ke a 100 units ko sal ya bye kar rahe hote Hain aur agar ham Euro USD per 1 lot size ki trading karte Hain to ham market mein euro ke 100 units ki selling ya buying karte Hain. Nano lot size beginners ke liye bahut hi best lot size hota hai kyunki jab ham trading ki practis kah rahe hote hain aur hamen trading ke related jyada experience Nahin hota hai to nano lot size hamari trading ke liye bahut hi best hota hai aur ham apni trades ko bahut acchi Tarah se manage kar sakte hain.


اب آن لائن

Working...
X