Candlestick Chart pattern !!!!
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Candlestick Chart pattern !!!!
    AOA,





    Dear Friends, Umeed karta hu ap sab kheriyat sy hon gy. Forex Trading mn agar hum kamyab trading karna chahty hain to humain chart patterns ky bary mn knowledge gain karna ho ga. Chart sy humain market ki previous movement ka pata chalta hai jis ki help sy hum market ky next move ka andaza laga sakty hain. Forex Trading mn use hony waly charts 3 types ky hoty hain. Jo neeche darj hain.







    Candlestick Chart:







    Dear friends Candlestick chart pattern bhi high low open or close price ko dekhata hai. Har candle stick ki body opening or closing prices ko dekhata hai jb k candle stick ki wick high or low prices ko indicate krta hai.Har candle stick ka rang lago karda tartebaat par depend krta hai lakin ziada tar charting pakeg pehly sy tay shodah colours green & red colour estaal karen green candle stick is baat ko indicate karte hein k price open sy ziada close hai is ko bullish candle stick kaha jata hai or red candle stick is baat ko indicate krta hai k close open sy ziada hai or bearish pattern ko indicate karta hai.Candle stick chart ab tak sab sy ziada makbool chart hai forex technical analysis mein use hota hai Q k trader ko ziada information dyta hai or trading karna ziada asan hota hai Q k trader is ko aik nazar mein daikh kar samajh jata hai aur trading me thoda bahut mahir bhi khud ko samjhta hai..


    Click image for larger version

Name:	download (1).png
Views:	5
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12483740



    Line Chart:






    So freinds Line chart aam tor par close prices ko dekhata hai. Har close hony waly prices ki aik mosalsal line hoti hai jis ko last close price ky sath monsalik kea jata hai jis ko follow krna asan hota hai. Is kisam ky chart main ziada tar television, newspapers or dosray web subject ky lia istmal hota hai Q k yh asaan sa chart hai yh candle stick ya bar chart ky mokaballay mein kam information dyta hai. Line chart ka aik or faida yh hai k opar dekhay gay blue colour k chart ki tarah aik ghair janab dar rang montakhib kr ky trading emotions ko sanbhalny mein madad dayta hai aur ye bahut kaam ki cheaz hai.


    Click image for larger version

Name:	download.jpeg
Views:	7
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12483739


    Bar Chart:






    Dear friends, Bar chart ky mokrar karda period k lia high low open or close hony waly prices ko dekhata hai vertical line bar chart k high or low price k zarey banai gai hai bar k left taraf k dashen opening prices dekhaty hain or bar chart k right taraf k dashen closing prices dekhaty hain. Yh identify krny mein kabil hona k aya bar close hta hai ya down hta hai trader ko market k period k jazbaat sy inform krta hai. Bar chart candle stick chart sy milta julta hai yh us time nazar ata hai jb dono ko sath sath daikha jay lakin bar chart market k saf nizary k lia behtar hai chart k jallay huy rang ko hata kr trader aik he point mein market k trend ko daikh sakta hai aur jaan sakta hai...








    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	2
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12483737

اب آن لائن

Working...
X