Forex market main mean aur standard deviation ki importance

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex market main mean aur standard deviation ki importance
    Dear forum member, forex trading aik asa business hai jis main kamyabi hasil krna k liy ap k pass is business ka knowledge aur technical analysis zarori hai. Technical knowledge k sath trade krny say ap ko loss k chances kam aur profit k zayda chances hoty hain. Forex market mein movement ko study krny aur trend ko identify krny k liy ager ap standard deviation or average ko focus krty hain to ap ko buht acha profit ho sakta hai. Mean aur standard deviation ap ko entry aur exit point decide krny main byht help krty hain. Aj main aap say standard deviation or mean ( average ) say related information share krna chata hoon. Jis say ap ki skills aur zayda improve hon gi.

    Introduction of Standard Deviation
    :

    Dear members, Forex trading market mein standard deviation ki proper information k liy Bollinger band aik buht famous indicator hai. Standard Deviation aur average k knowledge ki base per ap profitable trade kr sakty hain.

    Calculation of Standard Deviation:

    Dear members, Standard Deviation ki proper calculation k liy ap, mean ki value ko candlestick ki closing values say less krty hain, or jab hasil kiy howy answer k total ko total number of values per divide krty hain, tu aap standard deviation ki value achieve kr laity hain. Forex trading main, average aur standard deviation ka knowledge say ap ki profit earning ratio increase ho jati hai.

    Understanding of Mean / Average:

    Dear friends, Mean ya average ap ko price ka average k bray main btata hai. Yah ap kisi bi time time frame main calculate kr sakty hain, kai important indicator jesy kah moving average indicator, average ki basis per aapko market k trend ki information daita hai. Is indicator ko ap candlestick ki closing / opening values ko add kr k number of candlestick per divide kr sakty hain, isko value ko aap Average ya mean kehty hain. Jitny bary time frame main ap moving average indicator ko use karin gay itna hi powerful signal hota hai. Aur ap achi trade kr sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	images.jpeg
Views:	2
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12483681
    Click image for larger version

Name:	download (2).jpeg
Views:	2
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12483682

اب آن لائن

Working...
X