Importance of "MFI" Money Flow Index.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of "MFI" Money Flow Index.
    Aslam O Alaikum,


    Umeed karta hun k tamam members kheriat sy houn gy. Aj mein ap sab k sath aik boht he khas topic share krun ga jis ki information ap sab members k pas hona boht zaruri hai. Aj mein ap sab ko money flow index k bary mein btaun ga.


    Money Flow Index (MFI):


    Money flow index aik technical oscillator hai jo assets mein overbought aur oversold signals ki pehchan k liye price aur volume ka data istemal karta hai. Is ka istemal divergences k spot k liye bhi kea ja sakta hai jo price mein trend ki tabdeli ko warn karta hai. Yeh 0 sey 100 k darmeyan movement karta hai.
    Conventional oscillator jesa k Relative strength index(RSI) money flow index price aur volume dono ko shamil karta hai , jesa k sirf price k opposite hai. Is waja sey kuch analysts MFI ko volume k lehaz sey RSI kehty hein.


    Importance of MFI :


    Money flow index aik technical indicator hai jo price aur volume data ko istemal karty huye overbought aur oversold hony waly signals tayar krta hai. 80 sy oper ki MFI reading ko overbought samjha jata hai aur 20 sy kam MFI ki reading ko oversold samjha jata hai. Jab k 90 aur 10 k level b haad k tor par istemal hoty hein. Indicator aur price k darmeyan divergence noteworthy hai.


    Explanation of MFI :


    MFI false signals produce karny k liye capable hai. Aisa tab hota hai jab indicator kuch aisa karta hai jo is bat ko indicate karta hai k trade ka aik acha moqa mojud hai liken phir price expected move nae krti jis k result mein trade ko loss hota hai , for instance k result mein price mein changing ni ho sakti.

    Indicator kuch important cheez k bary mein warn karny k liye bhi fail ho sakta hai. Jab k divergence k result mein price mein kuch time change ho sakta hai. Is liye prices k tamam reversal jany k liye divergence mojud nae ho ga. Is waja sy kaha jata hai k traders analysis aur risk control ki dusri forms ka istemal karen aur sirf aik he indicator par rely mat karen.


    Conclusions of MFI :


    Money flow index (MFI) aik technical oscillator hai. Money flow index signals produce krny k liye behtr hai liken kabi ye false signals bhi produce karta hai jis sy traders ko loss bhi ho sakta hai aur loss sey bachny k liye aik strong trader ko trade karny sey pehly dusry indicator ka istemal bhi kar lena chaiye ta k wo loss k risk sey mehfooz rahy and apni entry par acha profit earn kar saky. MFI aur RSI boht closely related hein. Main difference yeh hai k MFI volume ko shamil karta hai aur RSI nahi karta.
    Volume analysis k proponent yeh believe karty hein k yeh aik acha indicator hai. Is liye wo yeh bhi believe karty hein k MFI signals provide kary ga and RSI k muqably mein zada timely reversal sey update kary ga. Isi waja sey zada tar traders MFI py believe karty hein k ye fast hai.

اب آن لائن

Working...
X