AOA,BROKER AND TRADING PLATEFORM:EK maroof broker ka intekhaab intehaai ehmiyat ka hamil hai,aur brokers k darmyan ikhtelaaf ki tehqeeq mein waqt guzarna bahut madad gar sabit hoga. ap ko har broker ki policies aur wo market banane k baary mein jan na zaroori hai. for example,over the counter market or stop market mein. Trading exchange se chalne wali markets ki tijaarat se mukhtalif hai.Is k ilawa , yaqeeni banayein k ap k broker la tijaarti plateform is tajzeea k lye mozoon hai jo ap karna chahte hain. for example, agar ap fabunkee numbers se tijaarat karna chahtehain, to yaqeeni banayein k broker ka plateform fabunkee lines kheench sakta hai.ek poor plateform k sath ek acha broker ya ek poor broker k sath ek acha plateform, ek masla hosakta hai.yaqeeni banayien k aap donon mein se behtreen hasil karein.
A Consistent Methodology:kisi bhi market mein bataur trader enter hone se pehle,ap ko ye jan ne ki zaroorat hai k ap apni tijaarat ko anjaam deny k lye kesy fasle karein ge.ap ko samajhna chahye k tijaarat mein enter aur out hone ka munaasib faisla karne k lye apko kin maloomat kizaroorat hogi. kuch taajir trading ko anjaam deny k lye behtreen waqt ka taeeyun karne k lye maeeshat k bunyadi usoolon aur charts ki nigraani ka intekhaab karty hain.doosry sirf technical tajzeeya istemaal karty hain.ap jo bhi tareeqa kaar muntakhib karty hain, mustaqil rahein aur yaqeeni banaein k apka tareeqa kaar mawafiq hai. ap k system ko market ki badalti hui harkyat ko barqarar rakhna chahye.
Determine Entry And Exit POINTS:bahut se tajir mutazaad maloomat se ulajh jaaty hain jo mukhtalif time frames mein charts ko dekhty waqt hoti hai.jo cheez weekly chart par buy k mauqe k taur par aahir hoti hai wo inter day chart par sell k signal k taur par zaahir hoskti hai.