DeMarker indicator and strategy:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    DeMarker indicator and strategy:
    DeMarker indicator aik oscillator hai, jo keh apni value ko derive karnay ka liay maximum sa compare karta hai aur phir minimum sa compare karta hai, jo keh current time period mein achieve hoti hain, jo keh equivalent prices previous period mein achieve hoti hain. Friends, Demarker Indicator and strategy , Forex mein market kay trends ko analysis krnay ka liay bhut useful hai, yeh strategy aik trader ko trend ki hi present state aur us ka low honay ka andaza laganay ka liay mufed hoti hai, yeh trends ka terminal points maloom krnay ka liay acha aik indicator ha, trend ka end ka bray main accuracy new trend ka start main bahut advantage daiti hai.Click image for larger version

Name:	IMG-20211122-WA0012.jpg
Views:	1
Size:	73.0 کلوبائٹ
ID:	12479728Previous Swing Movement mein market:Es ka zariay hum previous swing high aur low per trend line ki aik slope ki surat main zahir kartay hain, jo keh us waqat tak rehta hai jab line break-up na ho aur new position bhi open na ho, es indicator sa ziada log wakif nhin hotay hain kyun keh iski information bahut kam online hain jaisa keh RSI, MACD and Stochastics ka baray main mojod hain, es indicator main two main tools hoty hain, aik trendline jisay ham deMarks trend line bhi kehtay hain, aur dosra sequential jisay deMark sequential b kehtay hain.Click image for larger version

Name:	IMG-20211122-WA0013.jpg
Views:	1
Size:	31.6 کلوبائٹ
ID:	12479729Confirmation Method with DeMarker:Es main basicaly 2 types ki lines hoti hain jin main pehli ya phir upper wali bearish hoti hai, jo bilkul kareebi price actions ka top sa pass out hoti hai, dusri ya lower line bullish hoti hai jo recent bottoms ko connect karti hai, es ka bad trend lines ka break ka wait karain aur break-down candles ka kareeb hamain buy stop ya sell stop , ka pending order lagana chahiay, TP ka liay hmain previous swing high aur low mind main rakhna chahiay, es main trailing stop bhi use kia ja sakta hai aur achay profit ka liay esay high aur low ka peechay place kar saktay hain, yeh aik acha indicator hai jo hmain trend ki aik achi indication provide karta hai, isko 15 minutes ya phir es sa high time frames main use kar ka achay results hasil kr saktay hain. Ye kisi b currency aur commodity per implement kia ja sakta hai. Mazeed yeh keh es ma koi bhi indicator involve nahin hota yeh sirf drawing trend line per base karta hai.Drawing trend line bahut essential hoti hai.Koi bhi trader sirf 2 trend lines draw kar sakta hai , aik ko ham falling trendline aur ik ko ham rising trend line kehtay hain. Agr ap aik rising trend line draw karna chahtay hain tou apko 2 bottom ko mark Karna ho ga inko ap jab connect karin gay to yeh trendline draw ho jay gi. Agar ap falling trend line draw karna chahtay hain tou aapko highest price ki 2-peaks ko mark Karna ho ga aur enko connect karnay say ap ki trend line ban jae gi.Click image for larger version

Name:	IMG-20211122-WA0011.jpg
Views:	1
Size:	57.8 کلوبائٹ
ID:	12479730Important Points:1. Pehlay number per aapko up aur down trend line draw karni chahie. Up-ward trendline ka liay hum nearest lows ko mark kar ka join kartay hain aur downward trendline ka liay hm nearest peak ko mark kar ka trendline draw karty hain.2; es ka bad hamen trendline ka break honay ka wait karna chahie ta keh hamein trend ki direction ka pata chal jay.3: Break-down candle ka pass ham pending order buy stop or sell stop ki soorat main place kar saktay hain but kuch pip previous candle ka high aur low say door hona chahie.4: Take profit ka liay hamein previous swing high aur low ko under consideration rakhna chahiaye aur es hisab say apna order place karna chahie.5: Is main hm trailing stop bhi use kar sakty hain aur profit ka liay esko peak aur bottom ka peechy place kar sakty hain.

اب آن لائن

Working...
X