What is Doji candlestick pattern? Discuss.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Doji candlestick pattern? Discuss.
    Assalamu Alaikum Dear jab ham forex trading market Mein kam karte hain to hamin candlesticks pattern se related complete information Ka hona bahut zaruri hota hai.Kyunki jab tak ham Iske bare mein complete knowledge aur learning hasil nahin kar lete aap kabhi bhi is business Mein successful Nahin ho sakte. Isiliye aaj main bhi aapse a ISI se related ik important topic per discussion karna chahti hun.jis ka naam hy Diji candlestick pattern.

    What is Doji candlestick pattern
    Dear friends doji candlestick pattern se indication or direction main change ho raha ho to us time ye pata chal jata hai to us waja se market main jab ye candlestick pattern banta hai to aus main reversal ki indication hoti hai. Aisy candlestick pattern ko dekh ky hum is market main trade laga sakty hain kun k ye patterns reverasal ka signal dy rahy hoty hai aor aisy patterns ko find karna bahot asan hota hai. Aisi candle ko asani k sath wick dekh k hum find kar sakty hain is ki differnet types hai jin ko hum dekh k is market main trade kar sakty hain.

    Types of doji candlestick

    Dear friends doji candlestick patterns ki three types hoti hain.
    Dragonfly doji
    Long legged doji
    Gravestone doji

    Click image for larger version

Name:	DojiDefinition2-1356bb5eca0d47b5a086d2589b9a306e.png
Views:	11
Size:	142.9 کلوبائٹ
ID:	12479522

    Dear in ko briefly nichy explain kiya gaya hai.

    Dragonfly doji

    Dear is pattern ko asani k sath her time frame main find kar sakty hain, is pattern ki shape ''T'' hoti hai it mean is candle ky nechy wali side par wick hoti hai magar upper side par wick nai hoti, jab ye pattern banta hai to is ky baad market upside par movement karti hai humy is market main trade lagany ky liay is candle ky baad next candle ko bullish close hony ka wait krna hota hai jaisy hi next candle bullish close ho hum market main trade laga sakty hain. Is pattern k y hisab se trade ka stop loss support level se thora nechy hota hai.

    Long legged doji

    Dear friends market main long legged doji tab banti hai market main movement kafi zayda hota hai aor aisi candle main wick bahot lambi hoti hai aisi candle main body bahot choti hoti hai magar wick bahot zayda bari hoti hai. Long legged doji pattern jab kisi resistance ya support par banti hai to to is ki wick ko dekh k pata chal jata hai k market main next moment bhi zayda volatile ho sakti hai is main jaisy hi confirmation milti hai humy ais market main trade open kar deni chaye, is pattern ky hisab se trade lagany k baad humy is market main stop loss resistance ya support level se thora dor rakhna hota hai kunk ye candle jab banti hai to next candle is ky high point tak aa sakti hai aisi candle par trade se kafi zayda faida ho sakta hai.

    GraveStone doji

    Dear friends Gravestone doji opposite hoti hai Dragonfly Doji ki is main candle jab banti hai to ye resistance level par banti hai or iis main sirf upside par wick hoti hai aisi candle ky down side par market wick nai banati hai. Jab market ye pattern banti hai to us ky baad humy sell ki trade lagani hoti hai kun ky ye candle resistance level par banti hai or us k baad market down side par aati hai humy is market main confirmation ky baad trade lagani hoti hai ye candle jab banti hai to us ky baad market ki next candle down close honi chaye tab ye candle valid hoti hai or hum is par trade laga sakty hain. Trade ka stop loss resistance level se thora oper rakha jata hai or take profit support level par rakha jata hai.

اب آن لائن

Working...
X