"Stochastic Oscillator" ki pehchan aur benefits :
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Stochastic Oscillator" ki pehchan aur benefits :
    Aslam o Alaikum :


    Umeed karta hun k tamam members kheriat sey houn gey and forex forum par daily achi learning hasil kar rahy houn gey. Agar ap sab members acha benefit hasil karna chahty ho tou trading ki information hona boht zaruri hai. Aj mein ap sab k sath aik boht he khas topic share karun ga jis sey apko kafi zada madad mily gi trading k doran.


    Stochastic Oscillator :


    Stochastic oscillator aik momentum indicator hai jo aik particular period of time k doran security ki aik khas close hony wali price ko us ki prices ki limit sey compare karta hai. Oscillator ki market movement par sensitivity us time of period ko adjust kar k ya result ki moving average ley k reduce ki ja sakti hai. Yeh overbought aur oversold signals generate karney k liye istemal keya jata hai. Yeh 0-100 ki range of values ko istemal karta hai.


    Explanation of Stochastic Oscillator :


    Stochastic oscillator yeh aik popular momentum indicator hai. Yeh pehli bar 1950s mein developed hua tha. Yeh overbought aur oversold signals generate karney k liye aik popular technical indicator hai. Stochastic oscillator price ki kuch level k lehaz sey different hoty hein kyun k wo assets ki price ki history par rely karty hein. RSI aur stochastic oscillator dono price movement oscillator hein jo technical analysis mein widely used hein. Jab k aksar mil kar istemal keya jata hai. In mein sey har aik k different underlying theories aur methods hein. Stochastic oscillator ka andaza is assumption sey keya geya hai k prices ko close karna current trend ki direction k qareeb close hona chaiye. Jab k RSI prices ki movements ki velocity ko measure kar k overbought aur oversold level ko trade karta hai. Dusry lafzon mein RSI ko prices ki movement ki speed ko measure karney k liye design keya geya tha. Jab k stochastic oscillator formula consistent trading ranges mein behtaren kam karta hai. Normally RSI trading markets k doran zada useful hai aur stochastic zada tar sideway ya choppy markets mein.


    Conclusion :


    Stochastic oscillator kiki primary limitation ye hai k yeh false signals generate karney k liye pehchana jata hai. Yeh us time hota hai jab signals k zareye trading signals tayar keya jata hai. Phir bhi real price mein follow nae krta jo aik losing trade k tor par end ho sakti hai. Volatile markets k halaat k doran yeh kafi regularly sey ho sakta hai. Is mein help karney ka yeh tareqa price trend ko filter k tor par lena hai. Jahan signals sirf is surat mein liye jaty hein jab k wo us same direction mein houn jesa k trend .

اب آن لائن

Working...
X