Details of Harami Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of Harami Candlestick Pattern
    Aslam u Alaikum! Dear members i hope ap sab kehriyat sy hon gay, or market main achi earning kar rhy hon gy. Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahty hain to aapko Hamesha experience k satg kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain.Forex trading mein agar aap successful trading karna chahte hain. To ap ko different factor par study karty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain. Aj main ap ko trendlines k related important information share karna chahti hun jis ko samjh kar ap asani sy trading kar sakte hain aj main ap ko important Harami Candlestick pattern k related important information share karna chahti hun..

    WHAT IS HARAMI CANDLESTICK:

    Harami Candlestick pattern aik Japanese candlestick pattern hai jo market main bullish aur bearish short term single produce karta hai. Harami Candlestick pattern price action ke direction kay hisaab say bullish ya bearish consider hota hai. Harami candlestick pattern 2 candlesticks par mushtamil hotaa hai. 1 candlesticks bullish aur dosri bearish hoti hai aur es hisaab say market ke bullish ya bearish direction ka andaza lagaya jaata hai. Neechy dee gai tasveer main aap bullish aur bearish Harami pattern dekh sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	harami-candlestick-patterns_body_bearish.png
Views:	10
Size:	11.2 کلوبائٹ
ID:	12478731

    BULISH HARAMI CANDLESTICK:

    1. Downtrend Ka aghaz karta hai
    2. Pehli candlestick bari aur bearish hoti hai
    3. Bari bearish candlestick kay baad us sy qadry choti bullish candlestick banti hai

    BEARISH HARAMI CANDLESTICKS:

    1. Uptrend ka aghaaz karti hai
    2. Pehli candlestick bari aur bullish hotii hay
    3. Dosri candlestick choti aur bearish hoti hai

    TRADING WITH HARAMI CANDLESTICK:

    Harami Candlestick pattern dono bullish aur bearish signals muhaiyah karta hai aur ye signal candlestick pattern kay zariye pehchaany ja sakte hain kay bullish hain ya bearish. Neechy dono pattern ke tasaveer aur details main aap kay sath share karne jaa raha hun jis main ye pattern aap clearly dekh sakte hain.

    EXAMPLE OF BEARISH ANA BULLISH HARAMI:

    Dear Jesa ky oper dee hui misaal main apne dekha kay bullish Harami pattern banny kay baad kiss tarha market ny move kiya to same ussi tarha market nay bearish pattern banny kay baad bhe matket ke movement dekhai hai. Lekin aik baat aur jo zehan nasheen karne ke zaroorat hai kay trading karte huy trading ka time frame, classic chart pattern aur price action ko dekh kar decision lain.Oper dee gai tasveer main mulahiza kiya jaa sakta hai kay EURUSD pair par bullish harami pattern banny kay baad uptrend dobara sy jaari hua hai. Lekin ess baat ko bhee mad-e-nazar rakhna chahey kay tamaam Harami pattern reversal ke taraf ishaara nahi karte.

    Click image for larger version

Name:	harami-candlestick-patterns_body_2019_07_15_14_03_33_Document3_Word (1).png
Views:	8
Size:	9.1 کلوبائٹ
ID:	12478730

اب آن لائن

Working...
X