Supply And Demand Zones In Forex Trading..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Supply And Demand Zones In Forex Trading..
    INTRODUCTION :
    Aslam u Alaikum! Dear members i hope ap sab kehriyat sy hon gay, or market main achi earning kar rhy hon gy. Dear agr ap market main kamyabi Hasil karna chahty hain to aapko Hamesha experience k satg kam karna hota hai aur apni learning ko perfect banana hota hai. Tab hi ap kamyabi hasil kar sakte hain.Forex trading mein agar aap successful trading karna chahte hain. To ap ko different factor par study karty hain to ap ko bhot zyda advantages available hoty hain

    SUPPLY ZONE:

    Dear Forex trading main jab koi currency pair resistance zone par pohnchta hai to usy selling zone kehty hain kun kay wahan say market overbought conditions say reversal ke jaanib aati hai. Aur sellers selling options ko consider karte hain ya apni long positions ko close karte hain. Essi tarha jab market down aati hai to strong support par market main buyers entry lety hain. Oversold conditions main buy ke entry zaida moasar saabit hoti hai. Ye dono cheezin jab market main hoti hain to selling zone ko supply zone aur buying zone ko demand zone bhe kaha jaata hai.

    DEMAND ZONE:

    Dear Supply and demand zones forex market main generally traders ko perception hasil karny main sood mand saabitt hoty hain. Supply and demand zones support aur resistance kay barakas aik larger area cover karte hain. Jiss say aapko bhetar andaza ho sakta hain. Jab kay support aur resistance zones ko lines ke soorat main lagaya ya mark kiya jaata hai jab kay demand and supply ko aik bary area main mark kiya jaata hai. Jesa kay aap neechy de huii tasveer main dekh sakty hain kay market main supply and demand zones kahan hain. Aur market waahan sy kesy reversal bana rahe hai. Jesy he market demand zone main jaati hai to market main buyers ke sharp movement dekhny ko milte hai aur esi tarha jab supply zone main jaatee hai to sellers in control nazar aaty hain.

    SUPPLY AND DEMAND ZONE FOR TRADING:
    Dear Supply aur demand zones main trading karne kay liey 2 cheezon ko lazmin zehan-nasheen karnaa chaheyy.

    1). Supply aur demand zone ke shanakht kay liey bary time frame ko istemaal karin Bary time frame main traders ko bhetar pata chal sakta hai kay kahan sy market sharply bounce kar rahi hai aur kahan sy supply aur demand levels create ho rahy hain.

    2). Jab aap supply aur demand kay levels ko identify kar lain to us kay baad ye observe karin kay market kinn kinn areas say bounce back kar rahi hai jesa kay aap neechy dee hui picture main bhe dekh sakte hain.

    OTHER DETAILS :

    Dear Forex trading ma demand kia mtlb hota ha k market ma kisi currency ya matel ki kitni ziada maang ha or is sy market ma us currency ki value bhe kum ya ziada hoti ha q k age market ma koi cheez limited mojood ha to us ki demand bhe ziada hoti ha. Market mein supply mein mtlb hota ha kisi cheez ya currency ki ho miqdaar market ma mojood hoti ha is supply sy bhe market ma kisi currency ya matel ki supply kum ho get tw us cheez ki value bhe ziada ho ge..

    Click image for larger version

Name:	supply-and-demand-trading_body_USDJPYtradingsupplyanddemandusingfibonacciretracements.png
Views:	7
Size:	65.9 کلوبائٹ
ID:	12478550

اب آن لائن

Working...
X