Gap up & gap down in forex trading & how trade in this situation?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Gap up & gap down in forex trading & how trade in this situation?
    Forum members hope all are fine and doing well. Forex trading main learning, knowledge aur experience ka hona bohat zarori hai. Forex trading main achy knowledge sy he achi trading ki ja sakti hai. Dear forum members, forex trading main market fluctuations hoti hain aur trend change hoty rehty hain. Jab ap forex trading market movement ko study krty hain, tu is main ap ko hamesha market ki different types ki movement hoti nazar ati hain, aaj main ap ko Jis movement type k bary me btana chahta hu. isy “Gap up or Gap down movement kehty hain”. Forex trading me market ki movement ki study k liye bohat ziada helpful ho sakti hai. Aisi movements ko understand kar k he right decisions liye ja sakty hain aur risky trades sy avoid kar k acha profit earn kia ja sakta hai.

    What is gapping ?

    Gapping us waqt hoti hai, jab kisi stock ya asset, previous day k uper ya nechy open hota hai. Aur is period k darmyan koi trade nhi hoti. Gapping movement normally 2 types ki hoti hai. Jisy “Gap up movement” aur “Gap down movement” kha jata hai.


    Gap Up movement?

    Dear forum member, jab market weekend per closing k bad, next week days me open hoti hai, tu is mein aap ko gap up pattern mil sakhta hai. Jab Market, next working day main Jis level pay close howi thi, os say oper open ho to is ko Gap Up opening kaha jata hai. Aam tor pay aisi situation main ap ko jo candlestick pattern milta hai, osy bullish kicker candlestick Pattern kehty hain. Yah pattern ap ko bullish trend ki confirmation deta hai. Jab market, Gap up open ho, to ap ko buying ki trade lagani chaiye. Ager ap ko support level k oper gap up Candlestick Pattern mily, esi condition main aap ko aik buht achi opportunity mil sakti hai. Jisy avail kar k acha profit earn kar sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	up.png
Views:	1
Size:	219.1 کلوبائٹ
ID:	12478329

    Gap Down movement?

    Dear forum members, jab market mein ap ko higher prices kay bad achanak market down movement krti hai, tu is ko aap gap down movement kehty hain. Forex trading market mein different important Candlestick Pattern ap ko ye situation clear kr sakty hain. Bearish kicker Candlestick Pattern ap ko gap down sa related information provide kar sakta hai. Jab weekend per market main opening point ko ap focus karte Hain, tu is main ap ko prices main heavily declined milta hai. Is candlestick pattern ko completely understand kar Kay aap effective trading Kar sakty Hain.

    Gap Up and Gap Down identification?

    Forex trading mein Gap up or gap down ko identify krna bohat hi aasan hota hai. Q k is gap ko aap easily recognize kar sakty Hain. Jab ap market main is trading technique ko samajna chahty hain, tu aap bullish kicker or bearish kicker Candlestick Pattern ko properly understand krna chaiye, is candlestick say ap maximum advantage hasil kar sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	DOWN.png
Views:	1
Size:	40.3 کلوبائٹ
ID:	12478330

    Advantages of Gapping in Trading?

    1. Ye market k trend/movement ko identify karti hai.
    2. Gapping ki understanding sy better decision ly skty hain trade ko open karny sy pehly.
    3. Is ki understanding sy market movement ko dekhty hue buy ya selling opportunity ka pta lgta hai.
    4. Is tra gapping ka knowledge or understanding hony sy risky trades sy bach jaty hain.
    5. Gap movement k knowledge sy blind trading sy avoid kar sakty hain, aur right and timely decisions ly k acha profit earn kar sakty hain aur loss sy bach sakty hain

اب آن لائن

Working...
X