Forex Trading Risks and ways to avoid them..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Risks and ways to avoid them..
    Aslaam o Alaikum.

    Dear Pakistan's forex forum members, admin moderators aur Instaforex good analyst. Main yeh umeed karta hoon k aap sab khairiat say hongay aur apki khairiat k liye hamesha dua go hoon.
    Dear!
    forex curriencies kay business k baray main ham sab members jantay hain k yeh aik sell aur buy ka business hai, jisay sab traders kisi na kisi broker ki help aur co operate say curriencies ko sail ya buy kia ja sakta hai. Stock market aur curriency market k comparing main traders forex curriencies market main small curriencis main ziada interest rakhtay hwuay trading kartay hain jin main trading kartay hwuay traders ko bahut saray resources k sath market ko analyze karna hota hai tab ja kar trades say profit hasil kia ja sakta hai. Forex market main trading karnay k liye traders ko aik account pen karna hota hai jis main aik achi investment k sath achay profit k liye risk laina parta hai, agar traders ka risk unka knowledge aur strong experience k sath lia jaye to acha profit hasil hota hai laikin agar usay emotions aur greed k sath lia jaye to wahi trades traders k liye losses ka reason ban jaty hai.
    Agar trading kartay huway traders market main risk ko management k sath devide kartay hwuay kaam kartay hain aur sath achi strategies ka use kartay hain to market main risk say acha reward hasil kia ja sakta hai, jinki kuch detals aaj main is post main share kar raha hoon ummed hai k sab members ko faida hasil hoga.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_1.png
Views:	1
Size:	484.3 کلوبائٹ
ID:	12478326

    Risks in forex market:

    Leverage Risk and Margin System:

    Dear!
    Jaisa k ham uper is baat ki kuch explain kar chukkay hain forex market main leverage risk aik financial advantage hai, laikin is baat ki explain karna sab say pehlay aur important hota hai k asal main leverage risk hota kia hai aur iska kaisay trading k douraan use kia jata hai. Leverage ka simply mean yeh hota hai k ham trading main aik small account k sath acha risk laitay hwuay big market main trading kar skatay hain, jab say forex market ki trading start hue hai tab say big investers aur big traders market main apnay big capital k sath trading kar saktay hain laikin agar ham leverage ka use kartay hwuay market main risk ko manage kartay hain to ham acha capital bana saktay hain aur is huge market main trading ko bhi possible bana kar acha profit hasil kar skatay hain. Forex trading main leverage system ko operate karnay k liye margin ka use kia jata hai jiski help say traders market main small account k sath acha benefit hasil kar saktay hain.

    Click image for larger version

Name:	leverage11.png
Views:	1
Size:	29.1 کلوبائٹ
ID:	12478327

    Risks of forex trading be avoided:

    Don't risk money you can't afford to lose:

    Dear!
    mairay knowledge k mutabik forex trading main sab say big aur sab say important rule yeh hai k hamain kabhi bhi trading kartay hwuay aisa risk nai laina chaye k jo loss honay say hamaray liye usay afford karna na mumkin ho jaye agar ham is rule ko broke kartay hwuay market main trading kartay hain to ham kisi bhi surat main is market say kuch hasil nai kar skatay hain aur na he ham kabhi success ho saktay hain jisk liye zaruri hai k ham aik proper money managemnt k sath market main trading karain aur kam say kam risk ko apna mamool bana kar achi trading karnay say ham professional traders ban saktay hain.

    Good Luck To Everyone.

اب آن لائن

Working...
X