''Reversal Patterns'' kia hoty hain? Aur in ki nishandahi kaisy kren?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ''Reversal Patterns'' kia hoty hain? Aur in ki nishandahi kaisy kren?
    Introduction
    Aj ham trading chart ky patterns men sy Reversal Patternsper kuch roshni dalen gy. Reversal Patterns kia hoty hain? yeh kab wajood men aty hain? aur in ki nishandahi kaisy ki jaey?Aagy de gae kuch misaalon ki madad sy ham Reversal Patterns ko zahir kren gy.
    Defination
    Qeemat ka pattern jo ghalib trend men tabdeli ka ishara karta hai Reversal Pattern kahlata hai. Yeh patterns aisy waqt ki nishandahi karty hain jahan bulls ya phir bearish ka zor ya taqat khatam ho jati hai. Guzishta trend khatam ho jaey ga aur tren aik nai simmat ki taraf gamzan ho jaey ga. Aisa is liye hota hai kion keh dosri taraf sy nai taqat ubharti hai.
    Example
    Misaal ky tor per, Bullish candles ki support aur taqat ki wajah sy oper ka bana hoa trend ruk sakta hai, jo keh bullish aur bearish dono ki taraf sy dabao ki bhi nishandahi karta hai. Is ky nateejy men trend men kami ki taraf tabdeeli ati hai. Jab qeemat rukny ky bad palat jati hai to is ko Reversal Pattern kaha jata hy.
    Kuch aisy points hoty hain (jin ko ham signals bhi kah sakty hain) jin ki madad sy ham trend ki khabar maloom kar sakty hain, jaisy keh!
    · Head and Shoulders, jo aik qeemat ki barri movement ky nazdeek chhoti movement ka ishara daity hain.
    · Double Top, jo keh aik short term swing high ko zahir karta hai jab keh dobara isi resistance point per oper ki taraf jany ki nakam koshish karta hain.
    · Double Bottom, jo keh aik short term swing low ko zahir karta hai jab keh isi support point per nechy ki taraf jany ki nakam koshish kart hain.
    Head and Shoulder
    Head aur Shoulder ky patterns 3 pushes ki aik series ky tor per markete ky sab sy top ya phir bottom per zahir ho sakty hain. Pahla chhota aur girt push, is ky bad dosra aur brra aur phir
    teesra push jo keh pahly ki trah hota hai.
    Double Top
    Double Top ki sorat men jo keh aksar ''M'' ky harf ki trah nazar ata hai, resistance level tak push karny ki nakam koshish ki jati hai, jis ky nateejy men trend badal jata hai.
    Double Bottom
    Dosri taraf, Double Bottom word ''W'' ki tarah nazar ata hai aur s waqat hota hai jab price support level ko aagy barhany ki koshish kar rahi hoti hai, aur is trah support level ki khilaf warzi karny ki dosri nakam koshish ki jati hai.
    Click image for larger version

Name:	double bottom (2).jpg
Views:	1
Size:	65.8 کلوبائٹ
ID:	12478037 Yeh kuch khas khas chart patterns thy jis ki madad sy ham aik safe trade open kar sakty hain, Aur apni trade ko aik bary loss sy bacha kar profit ki taraf ley ja sakty hain. Hamaisha jab bhi koi khas qeemat aik trend long term ky liye follow karti hai to umeed hoti hai keh kisi point per ham ko Reversal Patterns show ho jaey. Agar ham is ki nishandahi kar lety hain to ham apni trade ko mehfooz bana sakty hain.
    منسلک شدہ فائلیں

اب آن لائن

Working...
X