What is Range Trading Strategy? Discussion with Chart.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Range Trading Strategy? Discussion with Chart.
    Introduction

    Traders aksar market main kafi time laga kar trends ko find karny ke koshish karty hain aur trend main trade lagaty hain. Lekin baaz awkaat market main koi khas up ya downtrend nahi zahir hota hai aur market sideways move karti hai. Sideways ka maylab hai 1 point sy up jaati hai aur khas point sy down aa jati hai. Jab 1 ponit sy dosry point kay darmiyan matket move karti hai to usy range-bound market kehty hain.

    Neechy de gai diagram main aap dekh sakty hain daily timeframe main range bound matket ke movement aur phir breakdown kay baad market ka downtrend.

    Click image for larger version

Name:	range 2.png
Views:	1
Size:	179.2 کلوبائٹ
ID:	12477806

    Trading Range Strategies kiya hai?

    Support and Resistance: Agar market aik range bana chuki hai aur us kay Support or resistance levels stong aapne identify kar liey hain to aap us par trading kar sakty hain. Es k liey jab matket support level par aati hai to aap buy kar sakty hain aur jab market resistance level par jaati hai to aap sell kar sakty hain. Es main aapkay liey stop loss aur tke profit lagana bhe bahut easy hota hai.

    Es main aap buy-limit aur sell-limit kay pending orders ka istemaal kar sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	range1.png
Views:	1
Size:	55.5 کلوبائٹ
ID:	12477805
    Breakouts and Breakdowns: Range matket main 1 aur kamyaab strategy ye hai kay market range ko break karti hai yo aap us main trade laga sakty hain. Maslan matket range ma ghoom ri hai aur resistance level par hai aur agr us level ko torti hai to aap buy ke entry lay sakty hain. Esi tarha market jab Support level pe aayi hai aur usko break karti hai to aap sell ke entry lay sakty hain.

    Breakouts aur breakdowns main aap Buy-Stop aur Sell-Stop kay pending order ka istemaal kar sakty hain.

اب آن لائن

Working...
X