Relative Strength Index indicator and Fibbonacci Retracement Indicator.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Relative Strength Index indicator and Fibbonacci Retracement Indicator.
    Forex trading market mein aapko hamesha different important indicator ko study krna hota hai. Aaj main aapko relative strength index indicator aur Fibbonacci Retracement Indicator ki details dena chahta hun.

    Relative Strength Index

    Relative Strength Index Indicator aik familiar indicators hai. Relative strength index indicator ko RSI bhi kaha jata hai. Ya Indicator aik eisa Indicator hai jo aapko market mein successful trading karne kay liye overbought situation and oversold situation ki details and identification kar raha hota hai. Is indicator ko samjna bahut asan hai. Is Indicator per trade krny sa phly aapko overbought situation and oversold situation ko understand karna ho ga.

    Level 70

    Level 70 per aapko bahut achi confirmation mil sakhti hai. Overbought situation jis ko aap level 70 sa bhi indicate kr sakhty hain, ya aik eisi position hoti hai jab market mein Price main uptrend dekhny ko milta hai. Is situation main market main buyer's ka strong pressure hota hai. Jab market mein kisi commodity's ki demand increase ho jati hai tu definitely uski price bhi respectively increase hona start ho jati hai. Level 70 per aapko maximum profit mil sakhta hai. Liken aik eisa level ata hai jis main buyer's ka pressure bilkul khutm hony wala hota hai or us point sa market mein rebounce expected hota hai, is level ko overbought situation khety hain.

    Level 30

    Level 30 per bhi aapko maximum profitable enteries mil sakhti hain. Market main jab prices decline ho rahi hoti hain, jab aap market ko observe krty hain tu aapko ismein strong seller's pressure mil raha hota hai, tu is pressure ki waja sa market bottom line tak ah jati hai. Is jab market is level tak ati hai tu usk bad market main uptrend expected hota hai, is level ko aap oversold situation yah phr level 30 ka name sa janty hain, is main aapko maximum buying enteries mil sakhti hain.

    Trade on RSI

    Relative Strength Index Indicator per aapko trade krny sa phly isko achi tarah focus krna hota hai. Dear members agar aap Forex trading market mein Relative Strength Index Indicator ki basis per trade lena chahty hain, tu aap ko sb sa phly different timeframe ki basis per iski classification krni cheye. Kunk choty timeframe main or bary timeframe ki Calculation main difference ho sakhta hai or RSI ki value majn changing aapko confuse kr sakhti hai. Is liye timeframe ki classification kay bad aap following methods sa trade la sakhty hain. Trade krny kay liye aapko maximum learning ki zarorat hoti hai.

    Trade on Small Timeframe

    Relative Strength Index Indicator per aap small timeframe per bhi trading kar sakhty hain. Jab aap choty timeframe per RSI ko aaply krty hain tu aapko level 5, level 10, level 15, level 50, level 85, level 90, level 95 ko draw krna cheye. Kunk choty timeframe per iski Calculation or RSI value jaldi increase aur decrease ho rahi hoti hai. Buying krny kay liye aapko sb sa phli entry level 15 sa leni cheye, down any per aap level 10 aur level 05 per further enteries la sakhty hain. Isi tarah selling kay liye level 85 sa phli entry leni ho ge or level 90 and level 95 per further enteries respectively la sakhty hain. Level 50 bhi aik achi entry da sakhta hai. Minimum timeframe per aapko achi entry mil sakhti hai.

    Trade on BiG Timeframe

    Dear members jab Relative Strength Index Indicator ko kisi bary timeframe for example H4 ya daily timeframe main dekh rahy hoty hain, tu definitely us situation main aapko level 70 sa selling confirmation aur level 30 sa buying confirmation milti hai. Liken isk sath sath iski furthet confirmation bhi honi cheye. Kunk big timeframe main RSI ki value rapidly increase / decrease nahin hoti. Is waja sa level 70 or level 30 per aap immediately enter ho sakhty hain.

    Benefits of RSI

    Relative Strength Index Indicator kay bahut zyda faidy mil sakhty hain. Strength index indicator aik strong aur powerful indicator hai. Ya indicator aapko positive guidelines provide kar raha hota hai. Is Indicator ko understand karna bahut asan hota hai kunk iski trading Techniques her trader ko easily samjh ah jati hai.

    Drawbacks of RSI

    Is indicator kay kuch drawback bhi hoty hain. Definitely forex trading market mein aap 100 percent kisi bhi techniqe per depend nahin kar sakhty hain. RSI jab overbought situation and oversold situation show krta hai tu some thori sa positive response kay bad iski value recalculate ho jati hai. Or jab market mein jyada voltatality hoti hai us time per bhi sometimes aap confuse ho sakhty hain. Specially news trading mein aap kay liye problem ho sakhta hai aap ko careful rehna ho ga.

    Click image for larger version

Name:	400px-RSIwiki.gif
Views:	27
Size:	16.0 کلوبائٹ
ID:	12475615

    Fibbonacci Retracement Indicator kay bahut zyda powerful hony ki waja sa aapko bahut zyda benefits or achi entry mil sakhti hai.

    Introduction of Fibbonacci Retracement

    Fibbonacci Retracement Indicator ko samjna bahut asan hai. Kunk ya aik eisa Indicator hai jo aap ko market ki movement ko properly calculate and judgement krny kay liye yah information provide krta hai, kay jab market downtrend or uptrend main movement kr rahi hoti hai, tu wo hamesha retracement tools ko follow kar rahi hoti hai. Is retracement ki basis per aap market ko predict kar sakhty hain or apni working ko perfect bana sakhty hain.

    Draw Process Fibbonacci

    Dear members Forex trading market mein agar aap Fibbonacci Retracement Indicator ko apply krna chahty hain, tu sb sa phly aapko pata hona cheye kay aap ko kis situation main Fibbonacci Retracement Indicator ko draw krna hai. Is Indicator ko properly samjna hota hai. Kunk jab tak aap aik perfect situation and position main isko draw nahin krin gay aap us time tak isk benefits ko gain nahin kar sakhty hain.

    Find A Huge Swing

    Ya indicator hamesha aik strong swing per lagana hota hai. Fibbonacci Retracement Indicator ko properly apply krny kay liye aapko exactly draw krna ana cheye. Isko properly draw krny kay liye aapko aik avha swing find out krna hota hai. Hamesha aik uptrend ya downtrend kay bad hi aapko is indicator ko apply krna hota hai. Jab ya Indicator aap apply krty hain tu tu aik swing per aap apply krna hota hai tu ismain golden ratio ki basis per aap decision making kar sakhty hain.

    Trade on Fibbonacci

    Fibbonacci Retracement Indicator per aapko trade krny kay liye Jab aap fibbonacci Retracement Indicator per trade laty hain tu aap ko iski Golden ratio ko completely focus krna hota hai. Kunk jab aap ko isk strong level per kei reversal candlestick pattern ko find out krny per aap market mein enter ho sakhty hain. Jab aap isk strong levels jisko aap further division kar sakhty hain.

    Qualities of Fibbonacci

    Dear forex traders Jab aap Forex trading platform per Fibbonacci Retracement Indicator ko properly apply karty hain tu ismein aapko hamesha powerful signals available hoty hain. Agar aap is indicator kay benefits hasil krna chahty hain tu faida mil sakhta hai. Kunk ismein aapko golden level per bahut achi opportunity available hoti hai. Fibbonacci Retracement Indicator ko properly study krna hota hai.

    Click image for larger version

Name:	Fib602x345.png
Views:	20
Size:	27.9 کلوبائٹ
ID:	12475614

اب آن لائن

Working...
X