Market Movement kya hy Demand And Supply Ka Role Risk free Trading kesy Possible Hy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market Movement kya hy Demand And Supply Ka Role Risk free Trading kesy Possible Hy
    Supply and Demand Phenomenon

    Dosto, Forex trading business ka Sara phenomenon he demand aur supply pay work kerta hai aur jab bhi kisi aik mai izafa hoga tou dusray mai ultimately kami he aey gi. Jaisay kay maths ki language mai isay aik dusray ka reciprocal kaha jaa sakta hai kay jab demand barhay gi tou supply Kamm he hogi aur jab supply barhay gi tou demand Kamm ho jaey gi kiyu kay supply he demand say ziada hogi. Ab traders ko In hi do prociples ko lay kay saari trading kerni hoti hai. Trading buy aur sell ka naam nahi hai trading aik complete business hai aur buy aur sell iss kay main elements hain jinn say business mai profit hotay hain.

    Click image for larger version

Name:	images (6) (1).jpeg
Views:	1
Size:	27.3 کلوبائٹ
ID:	12474986

    Basic Mistakes of New Traders


    Dosto baat traders ka low experience ko zaahir kerti hai kay profit sirf market ki up movement say he hota hai aur down movement say sirf loss he hota hai. Traders ko apna experience barhana chaiye aur trading kay baisc business model ko samajhna chaiye. Agar trading kay doraan buy ki trade hogi tou market ki up movement say profit hoga aur down movement say loss hoga. Issi tarah agar sell ki trade hogi tou down market movement say profit hoga aur up movement say loss he hoga. Loss say bachnay kay liye traders ko market ko sahi tarah judge ker kay he trades open kerni chaiye uss kay elawa koi tareeka nahi hai jiss say aisa ho sakey kay opposite movement pay bhi kisi trader ko loss na ho.

    Any Solution to Avoid Loss
    • Loss ka permanent solution ho he nahi sakta kiyu kay forex aik business hai aur business mai profit aur loss dono he ho saktay hain. Iss liye loss ko Kamm kernay aur recover kernay kay liye achi learning aur experience gain kerna chaiye iss kay elawa koi dusra na tou solution hai aur na he short cut hai



    Steps Before to Open Trade

    Trade open kernay kay liye sub say pehla kaam traders ko aik ya do aisay pairs ya commodities select ker laini chaiye jinn mai trading kerna chahtay hain. Iss say mindset aik targeted trading ki taraf ho jata hai. Jo bhi pair ya commodity select ker li ho uss kay charts ko maximize ker kay movement ko observe kerna chaiye. Phir 1 pair ya commodity ko uss waqt trading kay liye finally select ker kay uss kay chart pay time frames kay zariye trends ko daikhna chaiye. Trends aur analysis kay liye indicators bhi use kiye jaa saktay hai aur simply Candlestick chart patterns ko bhi daikha jaa sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-10-30T102122.884.jpeg
Views:	1
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12474988

    Execution & Final Decisions to Open Trade


    Trend and analysis kay baad agla step uss entry mai yeh final kerna hota hai kay lot size kia rakhna hai aur phir stop loss aur take profit Kitna hona chaiye. Ab yeh teen cheezain traders kay account balance, traders kay analysis ki accuracy aur traders kay personal experience pay he depend kerti hain. Lot size ko hamesha account balance kay aik makhsus portion takk equity kay usage aur margins ki consumption kay mutabiq he rakhna chaiye. Kisi bhi soorat mai laalach ya overconfident ho kay bohat ziada lot size nahi rakhna chaiye kiyu kay trades small lot size kay saath baar baar open close ki jaa sakti hain laikin account balance ka loss ho jaey tou phir small ya big lot ya profits aur earnings ka chance he end ho jata hai. Apni trade ko open kernay kay baad usay monitor kertay rehna chaiye kiyu kay kabhi kabhaar uss kay loss mai janay pay hedging bhi kerni Parr sakti hai aur issi tarah market achi aur positive honay ki soorat mai scalping bhi kerni Parr sakti hain. Hedging aur scalping dono kay liye he acha account balance hona bohat zaruri hai aur excessive margins ki availability bhi bohat laazmi hai

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-10-30T102138.095.jpeg
Views:	1
Size:	18.9 کلوبائٹ
ID:	12474987
    There is always light. If only we're brave enough to see it. If only we're brave enough to be it.

اب آن لائن

Working...
X