Problems of hesitation and how to overcome it during trades.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Problems of hesitation and how to overcome it during trades.
    Aslaam o Alaikum.

    Dear Pakistan's forex forum members, admin, moderators, visitors aur good market analyst. Main yeh umeed karta hoon k aap sab khiriat say hongay aur apki khairiat k liye main hamesha dua go hoon.
    Dear!
    aaj ki is post main maira sawal aur usk sath sath discuss is baat pay hai k ham apni real money k sath forex market main trading kartay hwuay apni hesitation pay kaabo kaisay payen aur usk sath sath usay permanent kaisay finish karain. Forex market main jab traders apni entry ko chart pay execute kar laita hai to koi bhi is baat ko 100% nai janta hai k uska order ya risk usay profit dilaiga ya nuksaan main close hoga. As a human ham traders marker main trades k douraan kuch aisi strategies kuch aisay prograams ko creat kartay hain jinko follow kartay hwuay ham market ki movements ko samjhnay main kamyab hotay rehtay hain laikin unk bawjood bhi hamain market say kabhi kabhaar nuksaan ka samna hota rehta hai, isi practice profit aur loss main traders apni hesitation ko kuch aisay steps ko follow kartay hwuay khatma karnay main kamyab hotay hain, jinka zikar main aaj apni is post main aapk sath share kar raha hoon jo k sab kuch darj zail main hai, aur sath umeed hai k aap bhi is pay knowledgable comments k sath is issue ko resolve karnay main aaik dusray ki help main participate karaingay.

    Click image for larger version

Name:	hesitation1.png
Views:	1
Size:	436.6 کلوبائٹ
ID:	12474923

    Dear!
    kuch mazeed steps hain jin say is post main ham clear kar saktay hain k kaisay ham trading k douraan apni hesitation ko khatam kar saktay hain:

    Do not risk more than you are prepared to lose:

    Dear!
    mairay experience k mutabik market main trading kartay huway koi bhi aisa analyst nai hai jo market k baray main hamesha 100% clear samjhta ho koi na koi traders say aisi mistakes ho jaty hain jinki wjaha say trading k douraan loss ka samna aur reason ban jata hai, is liye wahi mistakes aur loss hamko trading kartay huway risk lainay say hesitant kartay hain. As a trader jab ham market main koi risk laitay hain to usko hamain apni invest k hisaab say kabhi bhi 20% k hisab say nai rkahna chaye balk loss aur mistakes ko samnay rakhtay huway agar ham wahi risk 2% k hisab say rakhtay hain to ham market say kabhi bhi hamesha k liye out nai ho saktay hain aur na he ham kabhi market main entry lainay say hesitant hongay.

    Click image for larger version

Name:	riskkk22.png
Views:	1
Size:	72.2 کلوبائٹ
ID:	12474929

    Good Luck To All..

اب آن لائن

Working...
X