Understanding Supply And Demand In Forex
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Understanding Supply And Demand In Forex
    What is Supply And Demand?
    Supply aur demand ke terms harr market main use hoti hain aur forerex trading main jabb koi currency pair resistance zone par pohnchta hai to usy selling zone kehtay hain kunn kay wahan say market overbought conditions say reversal ke janib ati hai to sellers selling options ko consider karna start hain ya apni buy positions ko close karna shuru kar dety hain. Essi tarha jab market down aati hai to strong support par market main buyers entry lety hain. Oversold conditions main buy ke entry zaida moassar sabit hoti hai. Ye dono cheezin jab market main hoti hain to selling zone ko supply zone aur buying zone ko demand zone bhe kaha jata hay.

    Explanation
    Forex market main generally supply aur demand traders ko perception hasil karny main faida mandd sabitt hoty hain. Supply and demand zones support aur resistance kay brrakas aik larger area cover karte hain. Jiss say aapko bhetar andaza ho sakta hain. Jab kay support aur resistance zones ko lines ke soorat main lagaya ya mark kiya jata hai jab kay demand and supply ko aik bary area main mark kiya jaata hai. Jessa kay aap neechy de huii tasveer main dekh sakty hain kay market main supply and demand zone kahan hain. Aur market waahan sy kesy reversal bana rahe hai. Jesy he market demand zone main jaati hai to market main buyers ke sharp movement dekhny ko milte hai aur esi tarha jab supply zone main jaatee hai to sellers in control nazar aaty hain.

    Click image for larger version

Name:	33.png
Views:	1
Size:	76.4 کلوبائٹ
ID:	12474889

    How To Effectively Use Supply And Demand Zones
    Supply aur demand zone mainn trading karne kay liey 3 chezon ko lazmi zehan nasheen karnaa chahey.

    1. Supply aur demand zones ke shannakht kay liey bary time frame ko istemaal karin Bary time frame main traders ko bhetaar pata chal sakta hai kay kahan sy market sharply bounce kar kar rahi hai aur kahan sy supply aur demand levels creaate ho rahy hain.

    2. Jab ap supply aur demand kay level ko identify kar laiin to us kay baad ye observe karin kay market kin kinn areas say bounce back kar rahi hai jesa kay aap neechy dee hui picture main bhe dekh sakte hain.

    3. Support aur resistance levels koo dekhnay kay liey jinn indicators kaa aap istemaal karte hain unn say bhe aap supply aur demand levels ko dekkh sakty hain ya phir aap fibonacci levels kay iste say bhe supply aur demand zone ke nishaan dehi kar saktey hain.

اب آن لائن

Working...
X