Importance of Economic Calander in Forex Trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of Economic Calander in Forex Trading.
    What Do you Mean By Economic Calaender?

    Market Mmein kamyabii haasil kaarne kea liye aapko haamesha fundamental analysis aur technical analyses ko zyda sa zydaa saamjna hota hai. Fundamental Analyses ko achi tarah samjny kay liye economic calendar ko samjna cheye hota hai. Economic calendar istemaal kar kay traders ko sahi pata lagta hay kay market kise khas simt main kun move kar rahi hai, aur es kay sath market kay baaary main andaza bhe laga bhe lagaya ja sakta hai kay market ka agla move kesy hoga. Amoomi toor par market jo sab sy zaida economic data asar-andaaz hota hai us main GDP aur NonFarm Payroll number weghraa haain. Ye economic news matket par kafi zaida asar andaaz hoti hain aur behtareen trading opportunities faraham karti hain.

    Click image for larger version

Name:	calander.png
Views:	1
Size:	55.3 کلوبائٹ
ID:	12474729

    Role of Economic Calander in Forex Trading.

    Sb sa phly aapko economiic calendars dekhna hota hai, usk bad aapko trade ka faisla krna hota hai. Experience traders daialy basis par economic calendar ka mushahida karty hain aur us sy phir kisee currency pair par kesy tradae karni hai ess baat ka andaza lagaya jaata hai. Traders hazraat news aany sey paehly hee ko anticipate karty hain aur jis currency pair ya cross pair par trading kaarna hoti hai us main entry lenea start kar dety hain. Economic events sy long term main forex market ke direction ka paata chalta hay, forex markets sy muraad yeh hai kay jo currency kise makhsoos news sy jurri hoti hai uske simat ka taaiyun kiyaa jaa saktaa hai.

    How Economic Calander effects on Forex Trading?

    Dear forex traderes Economic Calendar ko dekhny aur us ko maintain kary kay chand tareeky hain, lekin sab sy common aur maashoor tareeka yeh hai k jo online economic calendar platform moajood hain unko dekha jaay. Kun kay wo har cheez update rakhty hain aur sath sath aapko update karty hain. Es calendar ko read karny kay liey jab aap dekhin gy to aapko date kay hisaab sy news nazar aa rahi hoti hai aur sath main country ka jhanda bhe nazar aata hay. Aik baat ko zehan main rakhna chahey kay mumaalik ke different influence hai. Global markets maslan ab USD dollar International currency hai aur poori duniya main istemaal kee jaate hai to uska asar almost har currency par hota hai aur market Volatility increase ho jati hai.

    Accessibility of Economic Clander

    Jab aap market mein kamyabi hasil karne ke liye indicator aur news calendar ko achi tarah focus krty hain, tu ismein aapko multiple plateform available hoty hain. Forex factory aur trading view jesy platform bahut zyda familiar hain, isk ilwa aapko metatarder 4 per bhi aap ko news updates mil rahi hoti hain.

    How Changes reflects on Economic Calander

    Dear members Leading indicators mustaqbil main hony waali tabdeeliyon ke taraf isharaa karty hain. Leading indicators short term predictions kay liey kafi mufeed hoty hain kunkay yeh indicators economy change hony sy pehly tabdeel hoty hain aur aapko guidelines daty hain.

    Lagging Indicator vs Economic Calander

    Dear members Lagging indicators economy yabdeel hony kay baad aaty hain. Enka istemaal us wakat madadgaar hota hai jab koi confirm pattern kay liey kiya jaay. Lagging indicator directly economic change kay liey predict nahi karty hain.

    Worth of Economic Calnder in Forex Trading.

    Leading indicator ke aik example "Retail Sales" hay jab kay lagging indicator ke Unemployment Rate example hay. Es kay elawa Gross Domestic Product (GDP), Purchasing Manager Index (PMI), Consumer Price Index aur Home Sales bahut important indicators hain. Umeed hai junior members kay liye ya post bahut zyda mufeed sabit ho ge.

اب آن لائن

Working...
X