Economic Calendar Explanation.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Economic Calendar Explanation.
    Importance
    Forex ma kaamyabi kayy liey behtarin tools main sy aik tool economic calendar hai. Economic calendar istemaal kar kay traders ko sahi paata lagta hay kay market kise khass simtt main kun move kar rahi hai, aur es kay sath market kay bary main andaaza bhe laga bhee lagaya ja sakkta hai kay market ka aglaa move kesy hoga. Amoomi torr par market jo sab sy zaida economic data asar-andaaz hota hai us main GDP aur Non-Farm Payroll number weghra hain. Ye economic news matket par kafi zaida asar andaaz hotii hain aur behtareen trading opportunities farraham karti hain.

    Important Points To Note In Economic Calendar
    Taders daily basis parr economic calendar ka moshahida karty hain aur uss sy phir kisee currency pair par kesy trade karne hai ess baat ka andaza lagaya jata haiy. Traders hazraat news aany sey pehly he es cheez ko anticipate karty hain aaur jis currency pair ya cross pair par trading karna hoti hai us main entry lena start kar dety hain. Essy economic events sy long term main forex market ke directions ka pata chlta hay, forex markets sy muraad yeh hai kay jo currency kise makhsoos news sy jurri hoti hai uske simat ka taaiyun kiya jaa saktaa hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot at Apr 02 12-58-49.png
Views:	1
Size:	71.2 کلوبائٹ
ID:	12474426

    Economic Calendar ko daikhny aur uss ko maintain karny kay chand tareeky hain, lekin sab sy common aur mashoor tareeka yeh hai k jo online economic calendar platform mojood hain unkoo dekha jaay. Kun kay wo har cheez update rakhty hain aur sath sath apko update karty hain. Esy calendar ko read karrny kay liey jab aap dekhin gy to aapko date kay hissaab sy news nazar aa rahi hoti hai aur sath main country ka jhanda bhe nazar aata hay. Aik baat ko zehaan main rakhna chahey kay mumaalik ke different influence hai global markets maslan ab USD dollar International currency hai aur pooori duniya main istemaal kee jaate hai to uska asar almost har currency par hota hai.

    Economic Calendar Types

    Leading Indicators
    Leading indicators musstaqbil main hony waali tabdeeliyon ke taraf ishara karty hain. Leading indicators short term prediction kay liey kaafi mufeed hoty hain kunkay yeh indicators economy change hoony sy pehly tabdeel hoty hain.

    Lagging Indicators
    Lagging indicators economy tabdeel hony kay baad aaty hain. Ennka istemaal us wakat madadgaar hota hai jab koi confirm pattern kay liey kiyya jaay. Lagging indicator directly economic change kay liey predicted nahi karty hain.

    Leading indicators ke aik misaal ( "Retail Sales" ) hay jab kay laagging indicator ke misaal ( "Unemployment Rate" ) hay. Es kay elaawa Gross Domestic Product (GDP), Purchasing Manager Index (PMI), Consumer Price Index aur Home Sales weghra bhe bahut important indicators hain.

اب آن لائن

Working...
X