How Can We Knows Trend Has Ended.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How Can We Knows Trend Has Ended.
    Aslaam o Alaikum.

    Dear Pakistan's forex forum members!
    forex market main trading kartay huway chart pay trend ko find out karnay k bahut saray rsources hotay hain, jinko ham achi strategies, indicators ya kisi aur achay knowledge k sath samjh saktay hain k price chart pay kitna run kar chukki hai aur kitna mazeed movement karnay k baad iska trend end ho sakta hai. Market k chart pay trend ko samjhnay bahut ziada zaruri hota hai qk isk hisaab say he har aik traders ko market main kaam kartay huway profit aur loss ka milna possible hota hai, trading k douraan agar ham kisi aik strategy ki help say trend ko find out karna chahtay hain to usk liye mairay expereince k mutabik ham bollinger band indicators say ziada aur perfect faida hasil kar saktay hain wo is liye k is indicators ka use karnay say ham chart pay har aik pairs ki uper aur lower price levels ko samjh bhi saktay hain aur usk sath sath ham aik achi entry aur exit bhi hasil kar saktay hain.


    Click image for larger version

Name:	trend end1.png
Views:	1
Size:	179.2 کلوبائٹ
ID:	12474312

    Dear members!
    kuch mazeed highlights hain jinki help say ham trend k end honay ko samjh saktay hain jo k sab kuch darj zail hai.

    Seeing Prices Using a Trendlines:

    Dear!
    mairay experience k mutabik aik continu trend k end honay k liye trendlines ka use kartay huway agar ham trend k end ko samjhtay hain to yeh sab say easy way hai, trading chart pay ham trend lines ko swing high aur swing low ki price pay use kartay huway trend ko achay tareekay say find out kar saktay hain. Forex trading k chart pay jab aik trend line say price break hoty hai to ham yeh samjh saktay hain k bahut he jald price apni movements ko change karnay wali hai aur isi tarha say trend ki bhi end ho jaty hai.

    Click image for larger version

Name:	trendline1.png
Views:	1
Size:	129.4 کلوبائٹ
ID:	12474317

    Using a moving averages:

    Dear!
    forex trading main aik perfect tareekay say trend ko find out karnay k liye moving average bhi easy way hai, moving average say ziada tar beginner traders he trend ko find out karnay k liye use kartay hain. Trading chart main agar price aik big time frame k sath 200 MA ko cross karty hai aur stay karty hai to ham is baat ka sahi andaza laga saktay hain k chart main trend change honay k liye ready hai jiski confirmations k liye ham mazeed iski rejection ka agar wait kartay hain to ham aik perfect aur long term ki trading k liye trend k sath entry lay saktay hain.

    Click image for larger version

Name:	moving averages1.png
Views:	1
Size:	182.0 کلوبائٹ
ID:	12474324

    GOOD LUCK TO ALL..

اب آن لائن

Working...
X