Role of Economic Calendar in Fundamental Analysis.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Role of Economic Calendar in Fundamental Analysis.
    Market mein kamyabi hasil karne ke liye aapko hamesha fundamental analysis aur technical analysis ko zyda sa zyda samjna hota hai. Fundamental Analysis ko achi tarah samjny kay liye economic calendar ko samjna cheye hota hai. Economic calendar istemaal kar kay traders ko sahi pata lagta hay kay market kise khas simt main kun move kar rahi hai, aur es kay sath market kay baary main andaza bhe laga bhe lagaya ja sakta hai kay market ka agla move kesy hoga. Amoomi toor par market jo sab sy zaida economic data asar-andaaz hota hai us main GDP aur Non-Farm Payroll number weghra hain. Ye economic news matket par kafi zaida asar andaaz hoti hain aur behtareen trading opportunities faraham karti hain.

    Economic Calendar Role

    Sb sa phly aapko economic calendars dekhna hota hai, usk bad aapko trade ka faisla krna hota hai. Experience traders daily basis par economic calendar ka mushahida karty hain aur us sy phir kisee currency pair par kesy trade karni hai ess baat ka andaza lagaya jaata hai. Traders hazraat news aany sey pehly hee ko anticipate karty hain aur jis currency pair ya cross pair par trading karna hoti hai us main entry lena start kar dety hain. Economic events sy long term main forex market ke direction ka pata chalta hay, forex markets sy muraad yeh hai kay jo currency kise makhsoos news sy jurri hoti hai uske simat ka taaiyun kiyaa jaa sakta hai.

    How to trade on Economic Calendar

    Dear forex traders Economic Calendar ko dekhny aur us ko maintain kary kay chand tareeky hain, lekin sab sy common aur mashoor tareeka yeh hai k jo online economic calendar platform mojood hain unko dekha jaay. Kun kay wo har cheez update rakhty hain aur sath sath aapko update karty hain. Es calendar ko read karny kay liey jab aap dekhin gy to aapko date kay hisaab sy news nazar aa rahi hoti hai aur sath main country ka jhanda bhe nazar aata hay. Aik baat ko zehan main rakhna chahey kay mumaalik ke different influence hai. Global markets maslan ab USD dollar International currency hai aur poori duniya main istemaal kee jaate hai to uska asar almost har currency par hota hai aur market Volatility increase ho jati hai.

    Sources of Economic Calendar News

    Jab aap market mein kamyabi hasil karne ke liye indicator aur news calendar ko achi tarah focus krty hain, tu ismein aapko multiple plateform available hoty hain. Forex factory aur trading view jesy platform bahut zyda familiar hain, isk ilwa aapko metatarder 4 per bhi aap ko news updates mil rahi hoti hain.

    Leading Indicators

    Dear members Leading indicators mustaqbil main hony waali tabdeeliyon ke taraf isharaa karty hain. Leading indicators short term predictions kay liey kafi mufeed hoty hain kunkay yeh indicators economy change hony sy pehly tabdeel hoty hain aur aapko guidelines daty hain.

    Lagging Indicators

    Dear members Lagging indicators economy yabdeel hony kay baad aaty hain. Enka istemaal us wakat madadgaar hota hai jab koi confirm pattern kay liey kiya jaay. Lagging indicator directly economic change kay liey predict nahi karty hain.

    Importance of Economic Calendar

    Leading indicator ke aik example "Retail Sales" hay jab kay lagging indicator ke Unemployment Rate example hay. Es kay elawa Gross Domestic Product (GDP), Purchasing Manager Index (PMI), Consumer Price Index aur Home Sales bahut important indicators hain. Umeed hai junior members kay liye ya post bahut zyda mufeed sabit ho ge.

    Click image for larger version

Name:	ff_product_calendar.png
Views:	3
Size:	39.5 کلوبائٹ
ID:	12474320

    Click image for larger version

Name:	weekly-economic-calendar-analysi.png
Views:	1
Size:	64.3 کلوبائٹ
ID:	12474321

اب آن لائن

Working...
X