Fundamental Aur Technical Analysis Ke Basic Information
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fundamental Aur Technical Analysis Ke Basic Information
    Amoomi torr par forex market ma trade lagany kay liey 2 method istemaal kiey jaaty hain, Technical analysis aur fundamental analysis. Traders aksar ess cheez pe search karty hain kay kon sy analysis say unkay liey behtar rahin gay. Main aap kay samny dono types koo achi tarha say explain karta hun jis kay baad faisla apne khud karna ha.

    Technical Analysis:

    Technical analyssis market main enter honyy ka wo tareeka kaar hai jis main maazi main market price kay trends ko dekh kar market main daakhil hony ka faisla kiya jaata hyi. Technical analysis main market trends ko dekhny kay liey price pattern, trading volumes, sentiments aur indicators ko use kiya jaata hai.

    Fundamental Analysis:

    Fundamental analysis main economic data ko estemaal kar kay market ko analyse kia jaata hai. Economic data aap news reports, economic reports ka istemaal kar akhta kar sakty hain. Jahan technical analysis main aap past main market ke price ko use kar k analysis karty hain yahan aap future main main economic direction ke base par market main entry lety hain.


    Technical aur Fundamental Analysis ka difference samjhny kay liey main aapko aik table kay zariey wazahat karta hun

    Technical Analysis Fundamental Analysis
    Technical Analysis Mostly short term investment kay liey use hoty hain Yeh Analysis Long term investment kay liey use hoty hai
    Sirf trading kay liey useful hain Investment kay liey nahi use hoty Yeh Trading aur investment dono kay liey useful hain
    Es Main Sirf mazi ka data use hota hai Mazi aur haal dono ka data istemaal hota hai
    Es main charts analysis use hoty hain Es main News economic statistics aur annual reports weghra use hoti hain
    Yeh analysis short term yaa swing traders use karty hain Yeh Aksar long-term trader ye analysis use karty hain

    Joo mane mukhtasaran apkay sath ye table share kia hai. Umeed hai Fundamental Analysis aur technical analysis main fark aapko samjh aa gya hoga. Ab as a trader har kise ke apni choice hoti hai kay wo kon sy analysis kafna chahta hai. But main apni baat karun to fundamental analysis ko dekhna mery nazdeek bahut zaroori hai.

اب آن لائن

Working...
X