What is consolidation in trading?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is consolidation in trading?
    Assalamu Alaikum dear jab aap forex trading market Mein kam kar rahi hote hain, to aapko market Mein Apni entry Lene se pahle Kuchh chijon ko Samne rakhte Hue market mein enter Hona Hota Hai.kunk Forex trading market mein kuch eisi situation bhi hoti hain, jin main aapko trade krny sa avoid krna hota hai. Consolidation bhi eik eisa hi point hai, jis main aapko trade sa avoid krna hota hai. Aaj main aapko is ki details batana chahti hun, jo aap kay liye helpful ho sakhty hain.

    What is consolidation?

    Dear friends jab market mein volatality bilkul na hony kay baraber hoti hai or us situation main market ka trend clear ni ho raha hota. Us situation ko Consolidation kaha jata hai.

    Reasons of consolidation

    Friends jab bhi market mein Consolidation hoti hai, iski different important reason ho sakhti hain. En different reasons ko find out karna or enki complete study krna bahut zyda zaroori hota hai. Jab market mein buyer's and Seller's Pressure nahin hota us time bhi ya situation ho sakhti hai.

    Location of consolidation

    Click image for larger version

Name:	gu1-525x286.png
Views:	9
Size:	81.8 کلوبائٹ
ID:	12474066

    Dear jaysa k oper di ge pic main zahir hy k jab ap kisi chart main Consolidation ko find khatam krty hain tu ap ko clearly yah idea mil raha hota hai kay ya hamesha kisi mazboot uptrend ya downtrend movement kay bad dekhny ko milta hai. Jab market mein aik mazboot support level aur resistance level per movement khutm ho jati hai or market kafi zyda time us point per spend krti hai.

    Trading in consolidation

    Dear friends aapko hamesha yah koshish karni chahie k jab market mein aisi situation hoti hai to us time per aap ko trade karny sy bilkul avoid karna chahie. Kyun k jab aap market mein aisi situation main enter ho jaaty hain, to us condition mein bahut zyada problem ho jati hai. Aur agar break out aap k against ho jata hai to aap ko bahut problem ho sakti hain.

    Scalping

    Friends Agar aap market ko achi tarah understand kar laty hain, tu definitely aap achi scalping bhi kar sakhty hain. Consolidation main scalping bahut zyda profitable or effective technique ho sakhti hai. Kunk ya Techniques dangerous bhi nahin ho sakhti or aap reasonable Profit bhi hasil kr sakhty hain.

    Click image for larger version

Name:	daytradingsetup1-596cf9333df78c57f4aaf265.png
Views:	1
Size:	39.1 کلوبائٹ
ID:	12474067

اب آن لائن

Working...
X