What is CFDs?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is CFDs?
    CFDs

    Click image for larger version

Name:	images (15).jpeg
Views:	1
Size:	34.7 کلوبائٹ
ID:	12473624
    Currencies, index ya stocks ki mutaqbel (feature) ki qeematon (values) par risk/bet (profit ya loss hona) k amal ko CFD (contract for difference) kaha jata hai. CFD k ro se agar ap kisi company se koi item khareedte hen aur mutaqbel me us ki qeematen barh (increase) jati hen to company ap ko us ka faraq ada (pay) karegi, lekin agar qeematen ger jati hen to ap ko us ka faraq ada (pay) karna hoga.
    CFD ki trading chonkeh mustaqbel ki price prediction pe hoti hai, is waja se kuch mumalik me ye mamno hai jaise America, bohut sare European countries bashamole Australia, Canada aur New Zealand CFD trading ko allow karte hen. American Exchange and Commission ne CFDs trading pe pabandi lagaye hai.
    CFDs ki ibteda 1990s k aghaz me Brian Keelan aur Jon Wood ne ki thi, ye us waqat ye us waqat London me UBS Warburg (London-based investment bank) they. UBS 50 se ziada mumalik me financial services faraham kar raha hai. Institutional traders ne is ka istemal stocks ki numayesh se rokhne aur taxes se bachne k leye shro kia tha. 1990s k akher me bohut sare firms ne retail traders k leye Bartania me taxes se bachne k leye aur us k leverages se faida uthane k leye CFDs ki marketing shoro ki. Bohut sare firms ne London Stock Exchange se, almi stocks, commodities, bonds aur currencies tak peshkash (offering) shoro ki.
    CFDs inferadi (Individual) traders aur faraham-kunanda (providers) k darmeyan hote hen, jo mukhtalif deals ki sharayet pesh karte hen. Har CFD kisi faraham-kunanda (provider) k sath trades open k karke banaya jata hai, jis me ye cheezen ho sakti hen;
    1. Traders ko bare bet-ask spreads, commissions aur overnight financing k leye tayar hona chaheye.
    2. Trades ziada tar short-term ki hoti hai, halanke position overnight li ja sakti hai.
    3. Financing charges aur nafa ya nuqsan rozana credit ya debit kia jata hai.
    4. CFDs ki margin pe tejarat ki jati hai.



    CFDs k pluses me un muwahido k chote kam se kam size hen, jo unhen chote tajiron k leye qabele rasaye banate hen. Meyad khatam hone ki tareekhon (expiration dates) ki adam maojodgi ka matlab hai, k is me waqat ki kami nahi hai. Lambi position pe financing wosol ki jati hai jab k short positions pe is ki adayegi ki jati hai.
    CFDs k bare me kaye sangeen ghalt-fehmeyan hen. Muahede k size k muqabele me commission ziada hote hen. Bid-ask spreads ko CFDs jari karne wale control karte hen, jo bunyadi securities ki qeematon se inheraf kar sakte hen.
    New aur naturabakar (un-experienced) traders me CFDs ki bohut ziada marketing ki jati hai, jo un ki mumkina fawayed ki tareef karte hen, aur khatrat (risks) ko un k samne rakha jata hai. ASIC (Australian Securities and Investments Commission) ki taraf se CFDs ko bohut zyada riski qarar deya gaya hai.

    Click image for larger version

Name:	images (16).jpeg
Views:	1
Size:	25.4 کلوبائٹ
ID:	12473623

اب آن لائن

Working...
X