What is Forex?
Friends, Forex ya Foreign Exchange 1 aesi aalmi market hai jis mn duniya ki different currencies ki khareed o farokht ki jati hai. Yeh duniya ki sab sy barhi markets mn sy 1 hai. Jis ka daily volume 1 research ky mutabiq 5 Trillion Dollors sy bhi zyada hai. Forex market ki 1 bht important or different quality yeh hai ky yeh market din ky 24 ghanty khuli rehti hai or koi bhi shakhs kisi bhi waqt kisi bhi jaga sy kisi bhi currency ki khareed o farokht kar sakta hai. Aesa duniya ky mukhtalif areas mn mojood time zones ky beech mojood farq ki waja sy mumkin ho pata hai. Jab Europeans Markets band hoti hai tab American markets kaam ka aaghaz karti hain. American Markets ky band hony sy qabl Asian Markets ka aaghaz ho jata hai or Asian Markets ky band hony sy pehly hi European Markets 1 bat phir apny agly din ka aaghaz kar deti hain. Yeh silsila week mn 5 dino tak chalta hai. Forex Market Saturday or Sunday ko close hoti hai. Currency ka business karny waly ko Trader or iss ky orders process karny waly ko Brokers kaha jata hai.
How Forex Market Works?
Forex mn tamam currencies ko pairs mn dikhaya jata hai. For example EUR/USD ya USD/JPY 1 currency dusri ky badly khareedi ya farokht ki ja sakti hai. 1st currency ko base currency jabky 2nd currency ko quote currency kaha jata hai. Agar koi trader EUR/USD ka pair buy karta hai to wo USD ky badly EUR khareed raha hota hai or aesa wo tab karta hai jab issy yeh umeed hoti hai ky EUR, USD ky muqably mazboot ho ga or aesy wo profit earn kar saky ga. Forex mn zyada tar tamam trading base currency ky 100,000 units ki lots ki khareed o farokht ky zariye ki jati hai. Agar EUR/USD ky pair ki qeemat 1.1750 ho to iss ka matlab yeh hai ky iss waqt 1 EURO $1.1750 ky equal hai. Agr EUR/USD ki qeemat 1.1750 ky barh kar 1.1751 ho jae to hum kahen gy ky iss pair ki qeemat mn 1 pip ka izafa hua hai. Pip kisi bhi currency pair ki qeemat ky sab sy choty ya sab sy aakhri unit ko kaha jata hai. 100,000 units ki lot mn iss ki qeemat $10 or 10,000 units ki choti lot mn iss ki qeemat $1 hoti hai.
Example of Forex Trading:
For Example ap ny market ki position ko dekhty huay andaza lagaya hai ky Euro, USD ky muqably mazboot ho ga. Ap EUR/USD ki 1 standard lot 1.1750 ki market par (100,000 units) buy kar lety hai. Farz Karen ap ka tajziya darust sabit hota hai or pair ki price 1.1840 ho jati hai or ap apni lot farokht kar dety hain. Aesy ap ko 90 pips ka profit hua. Lot size 100,000 tha so 1 pip ki qeemat $10 banti hai. Iss tarah ap ko $900 profit hua.
Agar ap ka tajziya yeh kahy ky Euro USD ky muqably kamzor ho ga to ap EUR/USD ki 1 Standard (100,000 units) 1.1750 ki market price par sale Karen gy. Yani ap Euro ky badly USD purchase Karen gy. Farz Karen ap ka tajziya darust sabit hota hai or pair ki price 1.1660 ho jati hai or ap apni trade band kar dety hain to aesy ap ko 90 pips ka profit ho ga. Lot size 100,000 tha so 1 pip ki qeemat $10 banti hai. Iss tarah ap ko $900 ka profit hua.
What are 100,000 Units?
Sawal yeh paida hota hai ky 1 aam shakhs kisi bhi currency ky 10,000 ya 100,000 units kaisy khareed sakta hai. Dusry lafzo mn 1 mulazim ya chota karobar karny wala aadmi 100,000 dollars ky Euro kahan sy purchase kary ga. Yahan par broker ki taraf sy diya jany wala 1 shandar mechanism hamari mushkil aasan kar deta hai jisy Leverage kaha jata hai. Leverage brokers ki taraf sy di jany wali wo raqam hoti hai jo itny barhy scale par currency ki khareed o farokht ko aasan bana deti hai. Forex Brokers zyada tar 100:1 ki ratio sy Leverage offer karty hain. Iss ka simple mean yeh hai ky koi bhi aadmi sirf $1000 ki raqam sy $100,000 tak ki currency khareed sakta hai. Or issi tarah sirf $100 ki raqam sy $10,000 ki mini lot khareedi ja sakti hai jis mn 1 pip ki value $1 hoti hai. Yeh bat mind mn rakhen ky har broker mini lot ka account offer nahi karta.