Divergence and Hidden Divergence:
Asalmoalikum,
Dear forex friend main umeed krta huj k ap sab kheriat hn gay friends Hidden Divergence ko discuss krny sy phele apko Divergence ka pata hona zarori hai friend main apko batao ga k Divergence kia hota hai.
Divergence
Dear forex friends Trading main Divergence iis waqat hota hai jab kisi b Currency Pairs ki prices technical indicators jese k Oscillator ya dosry data base k opposite move kr rahe ho. Divergence warns krta hai k kisi b Currency Pairs ki currently price weak ho skati hai ya ye price ki direction change hony ka sabbab ban skati hai.
There are two types of Divergence:-
A)Regular Divergence
B)Hidden Divergence:-
Sab sy phele ham regular Divergence ko discuss krty hain.
Regular/ Classic Divergence:
Ye us waqat hota hai jab price ka trend zaida high ya low level ko creat kry. Jab k dosri tard indicators low high ya higher low show krity hun.
Hidden Divergence:
Hidden Divergence hamesha regular Divergence k opposite hoti hi, jidr indicators action higher high or lower low banti hai jab k prices lower high or higher low hoti hain.
Type of Hidden Divergence:
Hidden Divergence ki two Types hain:
A) Hidden Bullish Divergence
B) Hidden bearish Divergence
Hidden Bullish Divergence:
Hidden bullish Divergence is waqat hota hai jab kisi Asset ya currency pairs ki prices ik zaida higher ki series banati hai or isi waqar indicators low level ki series banatay hian. Is sy pata chalta hai k up trend ab Mazboot ho raha hai or ye prices main mehez profit lyny ke bajy strong sell ki jaga hai. Is sorat main traders ko long term tak jana chey or currency ko buy krna chey.
Bearish Hidden Divergence:
Bearish hidden Divergence us waqat hota hai jab indicators kisi b asset ya currency pairs ki price higher high ki presence main low high show krti hai. Is sy ye Zahir hota hai k down trend jari hai, or ye reaction just profit lyny walo kele hai jo strong Buy kele aty hain. Is scenario main traders ko chey k wo short main currency ko sell krin.