GDP Kiya Hai Aur GDP Kay Economy Par Asraat?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    GDP Kiya Hai Aur GDP Kay Economy Par Asraat?
    What is GDP?
    GDP 3 lafaz Gross Domestic Product kay ly istemaal hoty hain jis ka urdu main matlab hay Majmoei Mullki Paidawar. Jesa kay lafzon se zahir hay kay GDP mulk main jitne mulkk ke Paidawaar (Goods and services) hote hain un ko jamma kar kay bnayaa jaata hay aur ye salanaa calculate kiya jaata hay. Gdp main saari wo cheezin shamill hoti hain jo us saal main kise bhe mulk main produce hoti hain. Maslan agar aik saal main 1 lakh new gaariyan bani hain to unn ke keemay ko GDP main shamil kiyaa jaata hai esi tarha aur bhe jo cheezin banti hain unn sb ko shamil kiya jaata hai.

    Explanation:
    GDP harr mulkk main saalana calculation kay baad zahir kiya jaata hay aur GDP mulkk main jitne bhe new cheezin banaai jaati hain ya bikti hain unke keemat ko jama kar kay bnayaa jata hay. Ye baat zehan main rakhi jaay kay GDP main sirf wohii cheezin shamil hoti hain jo sirf pehli baar sale hoti hain. Agar koi cheez dobara ya phir repair ho kay sale ho to wo GDP main shamil nahi hoti. Han jo cheez repair hoti ha maslan agar gaari hay to uska tire to wo GDP ma shamil ho ga na kay dobara se poori gari ke keemat. GDP mulk ke taraki ko show karta hay aur ye taraki ke nishani hay.

    Click image for larger version

Name:	29-6-anh-gdp-2893.jpeg
Views:	3
Size:	31.1 کلوبائٹ
ID:	12472247

    Mae'eshat Ya Economy Par Asar:
    GDP mulk ke mae'eshat ke pehchaan hay agar GDP zayda hota hay to us mulk main companies zayda bandy hire karti hain aur zayda salaries de jaati hain. Jis se mulk ke taraki zahir hoti hay. Es kay barakas agar mulk ka GDP down ho raha ho to inflation bharti hay aur berozgarri ya unemployment bharti hay. Jo kay mulk ke tanazli ke nishaani hota hay. GDP ko forex traders bahut zaida Importance detty hain kun kay GDP say aany waly maheenon yaa saalon main Economy par asraat zahir karty hain. Agar kise mulk ke economy ko positive momentum chahey ho yo uss kay GDP par sab zaida foucas kiya jaata hai. Forex traders jabb bhe analysis karte hain aur specially fundamental analysis main sab sy zaida esy ehmiyat dee jaati hai. Technical analysts bhe GDP par lazmi nazar rakh kar technical analysis karte hain.

اب آن لائن

Working...
X