PMI "Purchasing Manager INDEX"Forex Business mein Kamiyabi ka daromadaar Fundamental Analysis par bohot hi ziada hota hey is wajha se aap ko Fundamental news ke barey mein janna bohot hi zaruri hey warna is ke baghair aap kabhi bhi forex business mein kamiyab nahin ho saktey hein. Meri koshish hogi keh jo important fundamentals mujhey pata hey woh sab yahan par bayan karun takeh aap sab members ko yahan se achi trha se seekhne ka moqa miley.

Yeh News Countries ki Economy ki Production ke 400 Different chezon ka liya jata hey. is Data mein un Countries mein peda hone wali chezon se unki future planning ka andaza kiya jata hey. Jesa keh CPI news mein jo keh hum agey ja kar parhengey us mein chezon ki Khurdo nosh aur personal spending ki qeematon se mulk mein inflation dekhi jati hey wese hi PMI se is mulk ki Factories industries aur is mein kam karne waley logon ki Sharah tanasab ka andaza kiya jata hey, is ki bhi agey kuch Shakhen hein For Example,
Manufacturing PMI,

Yeh News First Working Day mein ati hey, is mein PPI ki news ka CPI ki news ke sath Co-Relation hota hey, isliye jab bhi PPI ki news ati hey uske 2 din bad CPI ki news ne bhi ana hota hey.
Traders ko Chahiye keh woh in dino mein apne Technical Methods ko dekhtey huwe is mein safe Tarikey se enter hon.

Service PMI:

Service PMI Third Working Day ki news hogi.

Whole Economy PMI:

Yeh bhi Third Working Day mein ati hey.

PMI

is ke ander hum 5 different fields ko dekhengey.

No.1 PMI
Employment
UnEmployment
NFP

Yeni keh Employment, UnEmployment, aur Unemployment se mulk mein Unemployment logon ki tadaad ka andaza lagaya jata hey.

No.2 New Order:

is mein PPI, CPI, ki Retail sales ka Record hota hey.

No.3 Inventory Levels:

Country mein jo Chezen Banai jati hein ya phir banti hein un ke Stock ka Hisab kitab aur unki tadaad kitni thi, Kitni reh gai agar kam he to Demand barhegi, Aur agar ziada he aur agey sale nahin hey to phir bhi maal to nikalna hey to agey supply barhegi.

No.4 Production GDP
No.5 Suppliers Deliveries

yeni keh jo Order diye gaye they kiya unki supply hogai ya abhi honi baqi hey aur agar dedi gai hey to unki raqam bhi hasil hui hogi. PMI is Mulk ke Payroll par infect karta hey aur GDP is Mulk ki Production par.
Sab se pehley Unemployment ki Ratio ka pata hona bohot hi zaruri hota hey Kioun keh Most Develop Countries apna level 6% ya 6.5% tak rakhtey hein .

Yeh Sara Knowledge aap doston ki Rehnomai keliye diya gaya hey jis se is forum ko banane ka jo Maqsad hey woh pura hota hey aur aap sab dost jo in baton ko nahin jantey hein un tak yeh Knowledge pohncha kar bohot hi acha feel hota hey Parhne keliye bohot Shurkriya.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим