Is it risky to trade sideway?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Is it risky to trade sideway?
    Dear pakistan forex forum members, aik survey k mutabik ziada tar traders ki yahi paishengoi hai k jab market sideway main ho to hamko is main trading nai karni chaye qk us wakt market apni positions ko bana rahi hoty hai jis main agar hamko profit milta hai to same time he hamain market main say double loss k milnay k chances increase ho saktay hain jisk liye zaruri hai k hamko market main kam say kam risk laitay huway kaam karnay main he hamari samjhdaari hai.

    Aaj ham is topic pay wazahat say baat kartay hain.

    Why is the market moving sideways?

    Dear, forex market bhi aik machine ki tarah say movement karnay wali digital market hai jo kabhi bhi hamesha k liye aik trend main ziada say ziada movement nai kar sakty hai isay bhi rest ki zarurat hoty hai iski prices main sirf isi wajha say delay hota hai jiski wajha say market main price range main aajty hai aur aik normal supports aur resistance ko touch kartay huway jab yeh aisi movements karty hai to ham market k baray main yeh kehtay hain k ab yeh sideway hai.

    Indicators used to identify sideways markets:

    Dear, jab koi bhi muskil hoty hai to sath he hamaray liye us main asaani ka solution banta hai ya ham ban kar usay asaan bana laitay hain, isi taraha say sideway market main ham hamko pehchan sirf kuch indicators say he horty hai k market sideway main hai ya price trend main movement kar rahi hai is liye agar ham kuch aisay indicators ko follow kartay huway market main kaam kartay hain jin main ADX, BOLINGER BAND ka shumaar hota hai to ham price ko in ki help say samjh saktay hain k wo trend main hai ya sideway main to ham is mushkil ko is tarah say asaan bana saktay hain.


    Determining the end of the Sideway trend:

    Dear, jab ham is baray main jannna chattay hain k sideway ka kaisay pata chalay k ab market dubara trend main run karna start kar chukki hai to usk liye sab say best baat yahi hai k hamain supports aur resistance ko daikhtay huway iska faisla laina chaye, jaisay he d1 k chart main price kisi support ya resistance ko break karty hai to tab ham yeh smajh skatay hain k sideway khatam ho chukka hai aur price dubara trend ko follow karna start kar chukki hai.

اب آن لائن

Working...
X