Friends, aisa kabhi nai ho sakta keh ham sirf ahort timeframes ko use kar kay short trading kar sakain. Trading main entry bahut matter karti hay. Yani jab ham sell ki trade karna chahain to higher time frame yani D1 aur H4 ko trend ki confirmation kay liye use karain. Jab keh H1, M30, M15, M5 and M1 jab higher position main hon to wahan say sell main enter hon ta keh ham running loss aur retracement say bach sakain. Isi tarah hamain buy main bhi ye rule follow karna hay. Is main hamain bahut patience ki zaroorat hoti hay takeh tamam timeframes hamari entry kay liye favourable hon. Yad rakhain jaldbazi ki koi zaroorat nai hoti. Laikin ager aik bar ham proper entry lainy main kamyab ho gaye to maximum earning ham kar sakty hain.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим