stop loss vaise to bahut hi kam ki chij hai kyunki yah hamari trade ko jyada loss mein jaane se rokta hai lekin kuchh log yah option use karte waqt Stop loss itna close laga dete Hain ki Jo fouri taur per touch ho jata hai mere khyal mein hamen market ko itni space jarur Deni chahie ki jismein vah thoda bahut up and down move kar sake aur uske bad Jo hamare analysis kahate Hain ki jaise up jayegi yah down jayegi to use direction mein chali jaaye lekin agar aapne bilkul thodi si space rakhi hogi to jab vah Koi correction move karegi aap yah down to aapka Stop loss Hit Ho jaega to mere khyal mein yah badi mistake hai. Jo log use karte hain unka itna bonus Ho ki aap thoda sa loss to bardasht kar saken Varna trade karne se parhez Karen
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим