Forex Trading me hamen har roze k hisab se lazmi target selection karni chaheye aur jese hi wo pora ho to mazzeed trading se muhtat karna chaheye. Target select karna bohut zarori hota hai. Baqi wo complete ho jaye ya nahi isko end pe dekhna chaheye. Forex trading me target ki bohut ahmeyat hai aur ye hamen lalach jese muzar cheez se door rakhti hai. Aagar hamari koshash ho k hum daily k hisab se target select karen aur wo pora hone pe mazeed trading na karen to is tarah se hamari koshash kamyab ho sakti hai. Aur agar target achive na bhi ho to bhi time mukamal hone pe mazeed trading nahi karni chaheye. Us k elawa weekly target rakhna aur pher us hisab se monthly target rakhna bhi achi baat hai lekin us ko daily target k sath munsalik karna chaheye. Target achieve na hone pe panic nahi hona chaheye bulke sakoon se trading karen. Target limits cross nahi hone chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим