Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Star Candlestick Pattern
Forex trading market mein candlestick analyses traders ko market k bare mein aham prediction deti hai, aur ye bhi aam tawar par aik technical indicator ki tarah se kaam sar-anjam dete hen. Candlestick patterns ki bohut sari types hen, lekin jitne ziada candlestick aik pattern mein hongay, utna hi wo pattern ziada bharemand hoga. Morning star candlestick pattern market main ziada ferokht k baad bearish trend main banta hai, jahan se qeematon ka mumkina tawar oar bullish trend reversal hona hoti hai. Morning star pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad nechay gap main aik small real body wali candle hoti hai, jo k bearish ya bullish dono ho sakti hai. Ye candle aam twar par star candle hoti hai, jiss ka upper aur lower side par small se wick bhi ho sakti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bullish candle hoti hai, jo k trend reversal ka sabab banti hai.
Candles Formation
Morning star candlestick pattern teen candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish dosre small candle hoti hai, jo k bullish ya bearish dono ho sakti hai, jab k last par aik bari real body wali bullish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
- First Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bearish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bearish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bearish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bearish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
- SecondCandle: Morning Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se down side par gap main open aur close hotti hai.
- Third Candle: Morning Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bullish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main up side par open ho kar higher par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k 50% se ziadda par close honi chaheye.
Evening star candlestick pattern
Evening star candlestick pattern "Morning star candlestick pattern" k bar akas opposite direction main bullish trend main banta hai, jahan se prices bearish trend reversal main change hona shoro karti hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jiss baab aik small candle banti hai, ye candle bearish ya bullish dono ho sakti hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad prices mumkina tawar par bullish trend de bearish trend main badal jati hai. Bullish aur bearish candle k darmeyan banne wali small star candle dono se upside par gap main banti hai.
Candles Formation
Evening star candlestick pattern teen candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bullish dosre small candle hoti hai, jo k bearish ya bullish dono ho sakti hai, jab k last par aik bari real body wali bearish candle hoti hai. Inn candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
- First Candle: Evening Star Candlestick Pattern ki pehlee candle aik strong bullish candle hotti hai, q k qeematen pehle se hi bullish trend main harkat kar rahee hotti hai, is waja se is candle ka bullish hona zarorri hai. Pehlee candle aik strong aur long bullish trend candle hotti hai, jis ka upper aur lower wick bohut chotta hotta hai.
- Second Candle: Evening Star Candlestick Pattern main dosree candle aik small real body wali candle hotti hai, ziadda tar ye candle Spinning top candle ya isi tarah se dosree candle hotti hai. Candle ka color zarorri nahi hai, lekin is ki position bohut ziadda aham hai, q k ye pehlee candle se upper side par gap main open aur close hotti hai. Dosree candle pehlee candle k shadow ko bhi touch nahi kartti hai. Ye candle bullush aur bearish dono tarah se ho saktti hai.
- Third Candle: Evening Star Candlestick Pattern ki teessri candle aik strong bearish candle hotti hai, jo k trend reversal ka kaam kartti hai. Ye candle bhi dosree candle se gap main down side par open ho kar lower par ja kar close hotti hai. Teesrri candle pehlee candle k real body k darmeyan se ziadda par close honi chaheye.
Trading
Morning star aur evening star candlestick patterns dono trend reversal pattern hen, iss waja se qeemten iss position se rebound hona shoro karti hai, lekin uss k leye kuch zarori conditions hen, jin ka hona zarori aur aham hai. Pehla ye k ye pattern prices k intehaye top ya bottom par banna chaheye, jo umoman indicator ls par overbought ya oversold zone hona chaheye. Dosra patterns par trading k leye trend confirmation candles ka hona zarori hai. Morning star pattern par buy ki entry aik bullish candle k baad hongi, jab k evening star pattern par trading se pehle bearish candle ka confirm hona zarori hai. Trend confirmation candles ka real body main bhi hona zarori hai, jab k pattern k trend k opposite direction k candles banne par pattern ka reaction invalid ho jata hai, jiss par trade entry se parhez karen. Stop Loss ka istemal zaror karen jo k loss se trades aur account ko mehfoz banata hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим