Bearish Engulfing pattern trading.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bearish Engulfing pattern trading.
    Description.

    Bearish Engulfing pattern aksar resistance level par ya uptrend ke baad samne aata hai, jo indicate karta hai ke sellers market par control le rahe hain aur price neeche girne wali hai Bearish Engulfing ek candlestick pattern hai jo technical analysis mein use hota hai aur market ke downtrend ki nishani hoti hai. Ye pattern do candlesticks par mabni hota hai: pehli choti si bullish (green) candle aur doosri badi bearish (red) candle jo pehli candle ko poori tarah se "engulf" kar leti hai. Iska matlab hai ke doosri candle ka body pehli candle se zyada lambi hoti hai aur uska open aur close pehli candle ke range ko cover karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (83).png
Views:	14
Size:	23.0 کلوبائٹ
ID:	13202384

    Trading Strategy / Entry Points.

    Dear friends agar aap trading main itny mahir nahin hain to aap ko kafi bhari nuqsan ka samna krna par sakta hai kyn kay Entry ka sahi waqt tab hota hai jab price bearish candle ke low ke neeche break kare. Stop-loss ko us resistance level ke upar lagain jo recent high ke qareeb ho, takay unnecessary losses se bacha ja sake. Target levels ko support zones ya previous lows ke aas paas set karein aur agar aap Bearish Engulfing pattern ko trade karna chahte hain to sabse pehle ye zaroori hai ke aap is pattern ko identify karain kisi important resistance zone ya overbought area ke qareeb. Jab ye pattern ban jaye to confirmation ka intizaar karein, jaise ke agle din ki candle bhi bearish ho. Jab aap confirmation le lein, tab aap short-selling ya sell position khol sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2024-11-16T201342.431.jpeg
Views:	7
Size:	24.8 کلوبائٹ
ID:	13202385

    Use with other Indicators.

    Dear traders main aap kay knowledge main izafah karta chaloon kay jis candlestick pattern per hum baat ker rahy hain us naam hai,Bearish Engulfing pattern aur yea tab zyada powerful hota hai jab bearish candle ke saath high volume ho. Is tarah aap apne trades zyada safe aur profitable bana sakte haint trading mein risk management sabse zyada aham hota hai. Bearish Engulfing pattern ko trade karte waqt hamesha apne risk-to-reward ratio ka khayal rakhein, jo kam az kam 1:2 hona chahiye. Iske ilawa, aur indicators ka istemal karein jaise ke RSI ya Moving Averages takay aapko confirmation mile ke market overbought hai aur trend reversal ka chance zyada hai. Aap volume indicators ka bhi use kar sakte hain.

اب آن لائن

Working...
X