Trading with : Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Trading with : Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Trading with : Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
     
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Assalamu Alaikum Dosto!
    Bullish In-Neck Line Candlestick Pattern
    Bullish in-neck line candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bullish trend continuation pattern hai, jo k high price area ya bullish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle se ooper gap main open hoti hai, aur dono candles k darmeyan main banne wala ye gap dosri candle ki real body se cover ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka close price pehli candle k close point k same ooper hona chahiye, yanni dosri candle ka close point pehli candle k close price se nechay ya ooper nahi hona chaheye, q k aisa na hone ki sorat main pattern bullish thrusting line ya bullish on-neck pattern main badal sakta hai. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.
    Candles Formation
    Bullish in-neck line candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka top ya bullish trend main ho. Ye pattern newly breakout trend main ziada successful rehta hai. Bullish in-neck line candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
    1. First Candle: Bullish in-neck line candlestick pattern ki pehli candle aik long real body main bullish candle banti hai. Ye candle prices k top par ya high prices area main buyers ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko upper side par push karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo k beal body k sath hoti hai.
    2. Second Candle: Bullish in-neck line candlestick pattern ki dosri candle bearish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko badalne ki nakam koshash karti hai. Ye candle aik real body main banti hai, jiss ka open pehli candle k top par gap main hoti hai, jab k close point ussi candle k real body k close price par hota hai.
    Explaination
    Bullish in-neck line candlestick pattern two days candles ka trend continuation pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bullish candle hoti hai, jo prices main bullish trend aur buying pressure zahir karti hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top gap main open ho kar pehli candle k same close price k in line close hoti hai. Ye candle market main selling control ko zahir karti hai, lekin high demand ki waja se ye prices k trend reversal karne main nakam rehti hai. Ye pattern dekhne main aur candles ki formation same dark cloud cover candlestick pattern ki tarah hota hai, lekin ye pattern uss se iss waja se mukhtalef hota hai, q k aik to ye pattern bullish trend continuation k leye istemal hota hai, aur dosra iss pattern ki dosri candle pehli candle ki real body k close point k same price par close hoti hai.
    Trading
    Bullish in-neck line candlestick pattern prices k top par banne ki waja se market main sellers market main active hone ki nakam koshash karte hen. Pattern ki dosri candle prices ko mazeed ooper jane se rokne ki koshash karti hai, lekin demand ziada hone se aisa mumkin nahi ho pata hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k nechay hona chaheye aur dosri candle k upper side par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle ki jagah agar bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi mid-zone se ooper hona chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se bottom position jo k pehli candle ka low ya open price banta hai, se two pips below set karen.
     

    اب آن لائن

    avatar Ayn
    Working...
    X