what is trading Divergence
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    what is trading Divergence
    what is trading Divergence
     
    bhali kay badlay bhali
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    what is trading Divergence
    Introduction Divergence ka tosawar financial market mein he hota hey jo keh hamaisha say he makbol hota he raha hey Merriam popular webster kay motabaq Divergence ke aik tareef hey yeh course ya standard say at kar amal hey assert ke price indicator kay opposite chale jate financial maret mein mokhtalef tarekon say Divergence daikha ja sakta hey mesal kay tor par technical indicator ka estamal kartay hein es period kay motabaq ke ja sakte hey kese assert ke direction aik taraf barah rehe hey jabkeh indicator es kay opposite honay rehnomai kartay hein mesal kay tor par currency ka pair barah raha hey yahan tak relative strength index apni enthai limit say oper ke taraf barhna start ho geya hey zyada tar moamlat mein jab aisa hota hey yeh aam tor par aik indicator hey eh kese assert ko khatam karnay ke taraf eshara karta hey relative strength index nechay ger raha hey jo keh EUR/USD ka pair hey nechay es ke tasweer bhe daikh saktay hein Fundamental point of view kay motabaq divergence es period kay tor par daikha ja sakta hey jab company kay hasas es kay inside data kay motabaq hotay hein mesal kay tr par kese company ka stock nesbatan strong economics kay numbers kay motabaq hota hey or es kay bd fall hona start ho jata hey Types of Divergence Bullish Divergence start karnay kay bulls aik trader ya investor hey jo keh es bat ke omeed karta hey keh kese assert ke price barhte rahay ge es ley divergence os time hota hey jab kese assert ke price ger rehe hote hey yahan tak keh aik say zyada indicator mumkana tor par oper ke taraf trend start kar daytay hein yeh divergence taman kese kay assert mein ho sakta hey forex stock , commodities, shares r nechay deya geya chart bullish divergence ke aik ache mesal paish karta hey Bearish Divergence Bearish Divergence bullish Divergence kay opposite hota hey yeh os time hota hey jab kese assert ke price gerna start ho jate hey or indicator barhna start ho jata hey trade with Divergence forex market mein divergence ke trading aik nesbatan moshkel cheez hey jo khas tor par new trader kay ley heyes ke wajah yeh hey keh divergence es bat ka ebtadai eshara frahm nahi karta hey keh forex maret mein kab buy ya kab sell karna hey phir bhe ap mokhtalef kesam kay idicator kay zarey say specific strategy ka estamal kar saktay hein takeh en Divergence par trade kar saken Trading with Moving Average Convergence Divergence MACD Moving Average Convergence Divergence MACD es maqbool indicator mein say aik hey jo forex market ke Divergence ko zahair kar kay estamal key ja saktay hein MACD aik chote ce moving average ko long period mein ghata kar hasel keya ja sakta hey sab say zyada maqbool moving average period 26 or 12 period ke moving average hey or signal line aam tor par 9 den ke moving average hote hey MACD aam tor par signal line ko aik scilatr mein convert kar sakta hey mesal kay tor par MACD trading signal os time bantay hein jab 2 line aik dsray ko cross karte hein ager yeh neutral line kay nechay hota hey to yeh aam tor par bullish ka signal hota hey es kay elwah yeh neutral lie kay oper hota hey to yeh aam tor par bearish kay signal dayta hey Relative Strength Index ka estamal Divergence trading mein trading Divergence ka aik or point of view relative strength index indicator ka estamal karna hey start karnay walay trader yeh indicator aaj ke dunia ka sab say maqbool tareen indicator hey yeh aam tor par oversold , ya overbought level ko identify karnay kay ley estamal keya jata ghey indicator ka estamal pelay aik khas period ke faiday or noqsanat ko shamel keya jata hey or bad mein average profit or loss ko talash kar kay lagya jata hey jab relative strength index 30 say nechay gerta hey to buy ka signal ban jata hey or jab RSI 70 say oper jata hey to sell ka signal ban jata hey jab RSI barah raha hota hey to price ger rehe hote hey nechay dey gay chart par GOOG chart Divergence ko zahair karta hey
     
    bhali kay badlay bhali
    • #3 Collapse

      Assalamu Alaikum Dosto!
      Trading Divergence
      Divergence, trading mein trend reversal aur potential trading opportunities ko pehchaanne mein madad deta hai. Divergence, price action aur oscillators ke beech ke mukhtalif harkat mein paya jata hai. Is article mein, main divergence ki tafseel mukhtalif heading mein batane ki koshish karunga. Divergence, price action aur technical indicators jaise oscillators ke beech ki disharmiya ko darshata hai. Jab price action aur indicator ki harkat mein ikhtilaf ho, toh divergence samajhna zaroori hai. Divergence ka matlab hai ke trend ke saath indicator ki harkat mein mukhtalifiat hai, jis se ek potential trend reversal ki pehchaan hoti hai. Divergence bullish ya bearish ho sakti hai. Bullish divergence mein, price action ne lower low banaya hai jabki indicator ne higher low banaya hai. Yeh ek mumkin bullish reversal ki pehchaan ho sakti hai. Bearish divergence mein, price action ne higher high banaya hai jabki indicator ne lower high banaya hai. Yeh ek mumkin bearish reversal ki pehchaan ho sakti hai. Divergence ko samajhna aur pehchaan lena traders ke liye zaroori hai kyunki yeh trend reversal aur trading setups ko pehchaanne mein madad karta hai.
      Positive (Bullish) Divergence
      Positive divergence, bearish trend ke dauran payi jaati hai aur ek bullish reversal ki pehchaan ho sakti hai. Jab price action lower low banata hai, lekin indicator higher low banata hai, tab positive divergence hoti hai. Yeh ek sign hai ke selling pressure kam ho rahi hai aur bullish momentum shuru ho sakta hai. Positive divergence ko samajhne ke liye, traders ko price action aur oscillator (jaise ki RSI, MACD, ya Stochastic) ki harkat par dhyan dena chahiye. Agar price action ne lower low banaya hai aur indicator higher low banata hai, toh yeh ek potential buying opportunity ho sakti hai. Traders ko positive divergence ko confirm karne ke liye aur trading decision lene ke liye dusre technical indicators aur price patterns ka bhi istemal karna chahiye.
      Negative (Bearish) Divergence
      Negative divergence, bullish trend ke dauran payi jaati hai aur ek bearish reversal ki pehchaan ho sakti hai. Jab price action higher high banata hai, lekin indicator lower high banata hai, tab negative divergence hoti hai. Yeh ek sign hai ke buying pressure kam ho rahi hai aur bearish momentum shuru ho sakta hai. Negative divergence ko samajhne ke liye, traders ko price action aur oscillator ki harkat par tawajjuh deni chahiye. Agar price action ne higher high banaya hai aur indicator lower high banata hai, toh yeh ek potential selling opportunity ho sakti hai. Traders ko negative divergence ko confirm karne ke liye aur trading decision lene ke liye dusre technical indicators aur price patterns ka bhi istemal karna chahiye.
      Hidden Divergence
      Hidden divergence, trend continuation ke dauran payi jaati hai. Hidden divergence, price action aur oscillator ki harkat ke mukhtalif peaks aur lows mein hoti hai. Is tarah ki divergence ko samajhna traders ke liye zaroori hai taaki woh trend continuation setups ko pehchaan sakein. Hidden bullish divergence mein, price action higher low banata hai jabki oscillator lower low banata hai. Yeh ek sign hai ke bullish trend mein momentum hai aur trend continue ho sakta hai. Hidden bearish divergence mein, price action lower high banata hai jabki oscillator higher high banata hai. Yeh ek sign hai ke bearish trend mein momentum hai aur trend continue ho sakta hai. Divergence trading mein risk management ka istemal zaroori hai, kyunki divergence ki pehchaan karna challenging ho sakti hai aur false signals bhi ho sakte hain. Traders ko divergence patterns ko confirm karne ke liye aur dusre technical analysis tools ka istemal karne ke liye practice aur experience ki zaroorat hoti hai.
      Conclusion
      Divergence, trading mein ek powerful tool hai jo trend reversal aur trading opportunities ko pehchaanne mein madad karta hai. Positive divergence bullish reversal ki pehchaan karne mein madad karta hai, jabki negative divergence bearish reversal ki pehchaan karne mein madad karta hai. Hidden divergence trend continuation ke dauran payi jaati hai. Divergence patterns ko samajhne ke liye aur sahi trading decisions lene ke liye traders ko practice, experience, aur risk management ka istemal karna chahiye.
      • #4 Collapse

        Assalamo Alaekum friends. Kasy hain ap sabMain umed karta hon ap sab bilkul thek thak hon gay. Aj ka jo topic zer e behs hay uska nam divergence in forex trading hay . Yeh hamen kia btayega r kia information deta hay yeh dekhty hain. Yeh hamen kia kuch btaya hay yeh ab ham agy mazeed dekhty hain. Divergence Forex trading mein divergence ek techniqi tajziyati tasawar hai, jismein price action aur isharo ke beech ka farq ya alagav ko samjha jata hai. Divergence ki madad se traders keemat ke harkaat aur trend reversal ke mumkin ishary dhundh sakte hain. Principal of Divergence Divergence ka matlab hota hai ki price aur ek makhsos ishara jaise ki Moving Average Convergence Divergence ya Relative Strength Index ke beech mein eik ger mutawazi taluk hai. Yeh tab hota hai jab price aur ishary ke simat alag hote hain. Divergence ko do iqsam se zahir kiya jata hai: bullish divergence aur bearish divergence.Bullish divergence mein, price ki lower lows neechey jana key waqat Ishary higher lows sedha neechey na jana banata hai. Yeh ek potential bullish trend reversal signal ho sakta hai. Is situation mein traders price ke badhny ki mumkinat ko dekhte hain.Bearish divergence mein, price ki higher highs upar jana ke waaqat indicator lower highs sahi par na jana banata hai. Yeh ek potential bearish trend reversal signal ho sakta hai. Is situation mein traders price ke km hony ki sorat hall ko dekhte hain.Divergence trading mein traders divergence patterns aur indicator ke convergence ya divergence ke beech ke taluk ko shnakht karne ki koshish karte hain. Agar ek trend reversal signal confirm ho jata hai, toh traders uss simat mein trading kt fesly lete hain.Divergence analysis forex trading mein ek jaded tasawur hy hai, aur iske sahi samajhne aur istmal ke liye practice aur techniqi tajziya ke saath acchi samjh bojh ki zarurat hoti hai. Trading decisions lene se pehle hamesha nuqsan say bchao aur apne trading ky mansoba ko perwi karna zaruri hai.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          WHAT IS TRADING DIVERGENCE DEFINITION Divergence ki two types Hote Hain ismein bullish and bearrish ho sakta hai regular divergence potential trends ke reversal ka signals De sakta hai jismein price Apne current direction Mein Jari rahti hai short regular se divergence trend ko chhor kar Momentum ko zahar karta ha divergence positive ya negative ho sakta hai positive divergence us time Hota Hai Jab security ki price Ek new Low Ho Jaati Hai result ke Taur per traders Yeh result aakhaz kar sakte hain Jab negative divergence hota hai to price Ek new high banati hai price ke weak khone ke trends se Iske bad investor is baat ka determine kar sakte hain Ke Aaya price Girne ki situation mein position ko Sell hai aur ismein stop loss set karna zaruri Hota Hai DIVERGENCE DURING TECHNICAL ANALYSIS Technical analysis ke dauran divergence positive and negative price ke movement ka indicator hai yah indicator asset ko track karta hai aamtaur per traders Tu purposes ke liye divergence ka istemal Karte Hain Woh climbind ke pattern ki maloomat Karega Agar stock ki price technical analysis ka tool Hota Hai to yah relative strength index Aisata Aista Barh Raha Hai traders ko apni position se bahar nikalne ke liye stop loss ya limits mahidud Karni chahie Jaise inhen decision karne Mein aasani Hogi aur vah Momentum ko choose karne bhi help kar sakte hain swing ke kasusiyat Ek long term ke sath Khari hoti hai jese shallow slope short position Se Dekha jata hai trading divergence ki confirmation karna important Hota Hai divergence ka tosawar financial market se kiya jata hai aur yah worldwide Mein famous Hota Hai OTHER TOOLS TO USE WITH DIVERGENCE Divergence ke others tools company ke shares Hote Hain Jise market ke Money management ke sath Kabul Kiya jata hai aur iska losses Dekhkar emotions Nahin Hona chahie balake ke Sabar karna chahie aur zyada Se zyada trading divisions ka knowledge Hasil karna chahie Uske bad aap success Hasil kar sakte hain yah divergence oscillator ke opposite Hota Hai aur ismein Samal candles hoti hain Jiska Color Red Hota Hai

          اب آن لائن

          Working...
          X