Assalam O Alikuk dosto umeed hy sab kheriyat dy hongy aue khush o khuram hongy, dosto mera ye review ghar main istimal hony waly gas yani k LPG pa mabni hy, dosto jesa k aap sab ko pata hy k aaj sy 15, 20 saal pehly LPG itna aam nahi huwa tha, cities etc main available tha lekin dehat ke taraf taqreban iska koi concept he nahi tha, dosto loug subah utt kar lakriyan kat'ty aur pir usi par aag jala kar khaana pakaty aur chai roti pakaty, tab buhat dair lagta tha, kabhi khushk lakriyan nahi hoyi to kabhi bilkul lakriyan he nahi hoti, kabhi matches nahi tha to kabi aag he bahi jalta to aksar buhat masly masail hoty thy, ab chonky LPG gas aam huwa hy aur taqreban har gali har ghar main avalaibe hy to vo lakriyoon wala tension khatam huwa hy, loug na ghar main lakriyan takhty hain na aksar matches Q k automatice chooly(stove) B acailable hoty hain jis ke waja sy vo mushaqqat khatam huwa hy jo pehly phoonk maar maar kar aag jaalaya jata tha to kabhi darmaya main bujh jata tha to kabhi tex ho jata jis ke waja sy time buhat waste hota tha, ab to Mashaa Allah bs button sy stove on kiya aur bartan ooper rakh diya jo kaam gento main hota tha ab minto ma8n hota hy. Lekin dosto aik baat aur B batata chaloon k purany zamany main ghar barry barry aur kashada hoty thy ab har ghar chota aur fully coverd hy to nuqsanat B buhat hoty hain. Faidy aur nuqsanat neechy paragraphs main mention karta hoon.
Faidy:
Dosto LPG connection ka sab sy barra faida ye hy k kaam jaldi ho jata hy chahy vo chai pakana ho, khaana pakana ho yaa roti bs aram sy jaldi jaldi ho jata hy baghair kisi mushaqqat k.
Doosta fiada ye hy k vo lakriyan laany aur tukry karny ka mushaqqat khatam ho gyaa jo purany zamany main loug kiya karty thy.
Theesra faida ye huwa k ghar main kitchen saaf rehta hy jo puranay Maany main duwain ke waja sy kitchen khaaly rang ka hota tha aur baqi ghar ke dewarain B yellow clr ke hojaty. Ab ghar saaf sutra rehta hy.
Chota fiada ye hy k har koi aag jalaa kar cooking kar sakta hy, purany zamany main ye kaam sirf aurat, yani maan BV, behen he kiya karty thy ab mars B kar sakty hain.
Panchwan faida ye huwa k cooking aik jesa hota hy roz k hisab sy zaiqy chamge nahi hoty jo kabhi aag tez to kabhi kam aur kabhi salan jala huwa to kabhi kacha wala scene ab khatam huwa hy.
Nuqsanat:
Dosto LPG gas k vesy koi nuqsan to nahi lekin sab sy barra aur jan lewa nuqsan ye hy k aksar loug valve kula chorr dety hain jis ke waja sy ghar main aag lagny ka khatra hota hy, aur buhat saary aisy waqiyat huwy B hain.
Doosra nuqsan ye hy k aksar agar aag lag B na jaye to zyada dair tak gas khula rehny sy gar main oxygen khatam ho jata hy aur dam gutny ka khatra hota hy.
Theeara nuqsan ye huwa k ab asani peda huwi hy to loug ko struggle krna nahi parta jis ke waja sy physical fitness par buhat barra asar parra hy.

تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим